Hyderabad

Madad ke liye 100 dail karne walay nojawan ko hi police Constable ne thapar raseed kardiya

By News Desk Roman Urdu

December 23, 2019

Hyderabad: Disha esmatraizi waqea ke baad har koi is baat par bazid hai ke agar kisi fard ko koi mushkil pesh aati ho ya phir kisi khatoon ko sangeen soorat-e-haal ka saamna hojaye to wo madad ke liye 100 par phone karte hue police ka taawun haasil karsaktha hai lekin jab 1 shakhs ne 100 par phone kiya to is nojawan ki madad to doosri baat pehlay police Constable ne nojawan par is liye hamla kardiya ke is ne police walay ki neend kharab kardi.

Ashrar se jhagde ki shikayat karne walay ek nojawan par Constable ne hamla kardiya aur is ko police station le gaya taham jab ye pata chala ke is nojawan ka taaluq media se hai to is ko raha kardiya gaya. Kal shab pesh aeye is waqea par Constable ke khilaaf nojawan ke khandan ne shikayat ki aur is ke khilaaf sakht karwai karne kamtalba kiya.

Commissioner police Cyberabad VC Sajjanar ne is Constable ke khilaaf karwai ki yaqeen dehani karwai. Tafseelaat ke mutabiq Hyderabad ke Jeedimetla ki HAL colony mein ashrar se jhagde par raat der gaye 2 bajey is nojawan ne 100 number ku phone kiya aur is baat ki shikayat ki jis ke baad Jeedimetla police Constable Koteshvar Rao is colony ko pouncha aur phone karne walay nojawan ko gharse talabb kiya. Is ne nojawan par barhami zahir ki aur kaha ke meri neend kyun kharab ki? Is Constable ne nojawan ko tamancha raseed kar deya aur is ko apne sath police station le gaya.

Is nojawan ko is ke arkaan khandan ne colony mein talaash kiya taham wo colony mein nahi mila. Muqami afraad ne un ko bataya ke nojawan ko police station le jaya gaya hai. Jab is Constable ko pata chala ke ye nojawan media mein kaam karta hai to is ko chudeya gaya. Is waqea par is nojawan ke arkaan khandan ne DGP Commissioner police cyberabad se is Constable ki shikayat ki. commissioner police ne un ko yaqeen dehani karwai ke is Constable ke khilaaf karwai ki jayegi.

Is waqea ne phir ek martaba awam aur police ke rishta ko zaher kar deya hai kyunkay jab Disha esmatraizi ka waqea runuma huva tha tab Telangana ke wazeer e dakhla Mahmood Ali se leker aam shehri tak ye keh raha tha ke mutaserah Dr ko apni behan ko phone karne ke sath police ki madad ke liye 100 dial karna chahiye tha lekin Jeedimetla mein aaj pesh aeye is waqea ke baad social media par loog ye sawal kar rahay ke kiya awam ko mushkil ke waqt 100 par phone karna chahiye. –YTN STAFF