India

Lucknow mein railway station par kelay farokht karne par lagayi gayi pabandi

By News Desk Roman Urdu

August 28, 2019

Lucknow : Lucknow mein railway hukkaam ne safai ko awaleen tarjeeh dete hain, kyunkay unka manna hai ke kelay ke chilkay gandagi phailatay hain aur isi wajah se railway hukkaam ney chaar baagh railway station par keloun ki farokht par pabandi aa-ed kardi hai.

Sath hi hukkaam ney yeh bhi intibah diya hai ke agar koi is qaiday ki khilaaf varzi karega to usay jurmana ada karne ke alawa sakht karwai ka bhi saamna karna padega.

Hukkaam ke is iqdaam se kela farokht karne walay aur musafireen na khush hain.

Chaar baagh railway station ke ek kela farokht ney kaha ke mai ney 5-6 din se kelay farokht nahi kiya hai. kyunkay intizamia ney is ki farokht par pabandi aa-ed kardi hai.

Lucknow aur kanpur ke darmiyan rozana railway ka safar karne walay Arvind ney kaha ”kele sab se sastay, sahet bakhash aur mehfooz phal hai jis ko safar ke douran istemaal kiya jasakta hai. yeh kehna beja hoga ke kelay gandagi pheilatay hain. agar yeh sach hai to is bait-ul- khala par bhi pabandi lagani chahiye, kyunkay wahan ziyada tar gandagi paeda hoti hai. sath hi pani ki bottles aur pack kiye hue namkin par bhi pabandi aed ki jani chahiye.

Unhon ney kaha ke kelay ke chilkay mahol ke liye be-zarrar hotay hain, sath hi yeh ghareebon ki taghzia ka ek sasta zareya bhi hain. –YTN STAFF