India

Lucknow ka Hazratganj ab Atal Chowk Hoga

By Abdul Aziz

September 08, 2018

Uttar Pradesh ke shaher Lucknow ke maroof ilaqa Hazratganj Choraha ko sabiq Wazeer e Azam Atal Bahari Vajpayee se mausoom karne ka faisla kiya gaya hai. Lucknow Municipal Council ney Hazratganj Chorahe ka naam tabdeel kar ke sabiq Wazeer e Azam Anjhani Atal Bihari Vajpayee ke naam par ‘Aatal Chowk’ rakhne ka faisla kiya hai. Muqami media ke mutabiq Lucknow ke bichon beech waqay Hazratganj Chowk ko Atal Chowk naam dainey ka yeh iqdaam sabiq Wazeer e Azam Atal Bihari Vajpayee ki maut ke baad un ki Lucknow shaher se be panah wabastagi aur unhen khiraaj e tehseen paish karne ke liye kiya gaya hai. Lucknow ki Mayor ka kahena hai ke ‘Shaher ke councillors ney mutadid baar shaher ki sadkon aur chorahon ko un ke naam se mansoob karne ki darkhwasten di theen aur hum chahtay thae ke kuch achchca aur ahem muqam Vajpayee sahib ke naam karen. Lehaza yeh faisla kiya gaya hai ke Lucknow ke sab se ziyada ahem aur sab se baday Chorahe ko un ke naam se mansoob kar dete hain. Unhon ney mazeed kaha ke sirf yahi nahi balkay paanch dafaa Lucknow se Parliamani intekhab jeetney walay Vajpayee ka mujassima bhi chorahe par nasab kiya jaye ga. Is ke sath sath un ki 51nazmein, taqriren aur deegar yadgaar mujassima ke sath lagai jayen gi. Iss se qabl Chhattisgarh ki riyasti hukoomat ney riyasat ki nai Rajdhani naya Raipur ka naam badal kar Chhattisgarh ko State ka darjah dainey walay sabiq Wazeer e Azam Atal Bihari Vajpayee ki yaadon ko qaayim rakhney ke liye un ke naam par Atal Nagar rakhney ka faisla kiya tha.