chimpanzee zoo

Hyderabad

lockdown mein zoo park ke janwar ziyada khush they

By News Desk Roman Urdu

October 25, 2020

Hyderabad: Coronavirus ki wajah se Hindustan bhar mein jo lockdown hua tha is mein sabhi tabqay aur mazahab ke log kaafi pareshan they lekin zoo ke janwar kaafi khush they kyunkay inhen insanoun ki moujoodgi se honay wali pareshaniyon se  chutkara milgaya hyderabad ke nehru zoological park mein ziyada tar janwaron ko lockdown ke daur mein khushgawar dekha gaya jaisa ke janwaron ke sulooq ke mutaliq jari tehqeeq mein un ke khushgawar rehne ka inkishaaf kiya gaya hai. tehqeeqi report ke mutabiq chirya ghar ke amlay ke alawa chirya ghar mein kam insani mojoodgi mojood thi.

Yeh tehqeeq 2 saal se central zoo authority ki hidaayat ke tehat ki jarahi hai. hyderabad ke chirya ghar ke maahir hayaatiyaat M.sandip jo mutalay ke hissay ke tor par janwaron ka mushahida kar rahay hain unhon ne kaha ke reechh, cheetay, jaguar aur sheroun samet doosre gosh khor janwar tanhayi ki wajah se ziyada fa’al, zinda dil aur aaram da thay. taham Hyderabad chirya ghar ke mashhoor shaksiaat chimpanzee Suzi samait, jinyati tor par insanon ke qareeb samjhay jane walay janwar lock down ke waqt kam sargaram nazar atay hain.

Tanhai ke mahol mein janwaron tehqeeq karne walay mahireen ne kaha hum ne lock down ke douran bohat se janwaron ko unke behtareen andaaz mein dekha. Reechh rasiyaan aur deegar cheeze istemaal kar rahay they jo ek saal qabal hum ne inhen paish kiya tha. woh lock down se pehlay unke sath ziyada nahi khelay they lekin lock down ke douran yeh par janwar ziyada chanchal aur mutahraik thay.

Hyderabad ke chirya ghar ke curator N.katija ne kaha hamaray paas kayi janwar sighles hain lekin jungle mein woh janwar hain jo grohoon mein rehtay hain. jab log chirya ghar mein wapas anay lagey to Suzi aur deegar janwar sargaram hogaye.

Gosht khor jo aam tor par khamosh rehtay hain jab bheed unke paas jama nahi thi tab chirya ghar ke amlah ne dekha ke woh kabhi chhalang lagatay aur kheil mein magan thay. inhen dopehar ka waqt be-qabu hokar aaraam aur sukoon se lutaf-andoz hotay hue bhi dekha gaya. Guzashta saal CCMB ke mutalay mein bataya gaya hai ke sheron ke afzaish mein maholiyati sayahat tanao ka sabab banti hai.

Sandeep ne kaha yahan tak ke safari park mein hum yeh keh sakte hain ke lockdown ke douran janwaron ko dabao nahi diya gaya tha. lock down ke douran hyderabad zoo park ne bohat se naye janwaron ki aamad ka khair maqdam kiya. chirya ghar mein March aur 20 october ke darmiyan jumla 58 naye janwaron ne janam liya. is mah ke shuru mein ek asiayi sher aur ek safaid sher paeda hua. jab log chirya ghar mein wapas anay lagey to Suzi aur deegar primi ziyada sargaram hogaye. Zoo curator ne kaha hai ke jab bhi aas paas insaan mojood hotay hain to yahan ek ajeeb si khush haali nazar aati hai.