Hyderabad: Cyberabad Traffic Police ne 23 March se shuru huve is Lockdown ke douran mukhtalif khilaaf warzioun par Motorcycles ke khilaaf 3.6 lakh se zayed muqadmaat darj kiye hain aur is douran ohdedaroun ney 5370 gadiyaan bhi qabzay mein le len. Police 24 ghantay khusoosi muhim chala rahi hai aur Lockdown qawaneen ki khilaaf warzi karne walay aur mukhtalif Check Poston par pakdae jane waloun ke khilaaf muqadmaat darj kar rahi hai. Ohdedaroun ke mutabiq 366968 mamlaat mein se, Ghair rabita muqadmaat jin mein E-Chalan, Speed Gun aur Social Media ki sahuliyaat se istifada shaamil hain jabkay 358497 raabtey ke mamlaat hain jo kay bashmole aspat muqadmaat, Nashay mein Driving ke ilawa Petty Cases 8417 darj huve hain.
Alawa azeen ab tak 3736 do phaiyoun ki gadiyoun ko qabza me liya gaya hai. 747 three Wheeler, 777 Cars aur 110 deegar gadiyaan bhi ab tak zabt ki gayeen. Cyberabad ke Traffic DCPSM Vijay Kumar ney kaha hai ke mojooda sangeen halaat mein shehrioun ko bhi khud nazm o zabt barqarar rakhnay ki zaroorat hai. Hum chahtay hain ke wo khud se Discipline aur zimma daar hon. Hum un se darkhwast karte hain ke wo Lockdown ke usooloun par sakhti se amal karen ya nataij ka saamna karen.
Darin asna, Traffic Police mukhtalif chokioun par aur zaati tor par Social Media par Lockdown qawaneen ke barey mein awam mein aagahi peda kar rahi hai. Wo inhen Traffic ki khilaaf warzioun ke khilaaf intibah day rahay hain. Ohdedaroun neh kaha hai ke Motorcycles ya kisi aur 2 pahiye ki gaadi par sirf 1 shakhs aur Car mein sawaar Driver sameit 2 afraad ke bunyadi Lockdown usool ko pamaal kar rahay hain. Police ne bataya ke ziyada tar khilaaf warzi karne walay mamooli wajohaat bata rahay hain.
Kokatpally ke Traffic Inspector N Bose Kiran ne kaha ek baar hum muqadma darj karlen to un ke khilaaf adalatoun mein maqool tor par ilzamaat ayed kiye jayen ge. Khilaaf warzi karne waloun ko 2 saal ki saza hosakti hai ya un par jurmana ayed kiya jaye ga. Baaz auqaat, Unhein dono sazayen di ja sakti hain. Traffic Police ohdedaroun neh bataya ke Lockdown ke douran zabt ki gayi gadiyaan jab tak sorat e haal mamool ban nahi jati hain kisi bhi terhan wapas nahi ki jayengi. –YTN STAFF