Slider

Lockdown ke baad Arab duniya mein Carrom Board maqbool hogaya

By News Desk Roman Urdu

April 10, 2020

Riyadh: Coronavirus ki wajah se is waqt saari duniya mein Lockdown hai aur uski wajah se gharoun mein mojood logoun ne masrufiyat ke naye tareeqay dhoond nikalay hain. Report ke mutabiq Saudi Arab mein basnay walay mukhtalif tabqo se talluq rakhnay walay afraad ne Boor se bachney ke liye khandan aur dostoun ke sath mil kar Asia ke riwayati khail Carrom Board ka sahara le liya hai jisay kisi had tak faramosh kar diya gaya tha.

Waqt guzari ka ye qadeem khail 4 ya 2 khiladioun ke mabain khela jata hai aur khiladi Carrom Board ke ar-gird bethnay ke baais ek dosray se kuch faaslay par bhi rehtay hain. Coronavirus ke sabab pehlay Lockdown aur phir Curfew ka elaan huwa to logoun ne Saudi Arab mein kheloun ke samaan ki dukanoun ka rukh karliya. Carrom Board khaas qisam ki lakdi ka takhta hota hai jis par murabba shakal ka khobsorat Design bana hota hai aur charoun kono mein gole Pocket mojood hoti hai.

Lockdown aur Curfew ke douran Carrom Board ki kharidari mein izafah dekhnay mein aaya hai. Ye munfarid khail ab Saudi shehrioun mein bhi pazeerai haasil kar raha hai. Is khail se khandan ke bachay, Baday aur boodhay sab hi lutaf andoz ho rahay hain. Carrom Board khaleej ke deegar ilaqoun khusoosi sahili ilaqoun mein bhi maqbool ho raha hai. Coronavirus ke sabab daftar ke bajaye Jeddah mein apne ghar se khidmaat anjaam dainay walay Engineer Majid ne kaha hai ke mein usay apni khush qismati samjhta hon ke mein ne kuch din qabal hi Carrom Board khareed liya tha jis se achchaa waqt guzar raha hai.

Unhoun neh kaha ke mein neh sab se pehlay Carrom Board apne mustaqbil ke sasural waloun ke sath khela tha jis ke baad ab mein apne ghar waloun ke sath kheltaa hon. Majid ne kaha ke pehlay amuman hum dopehar ke khanay par melitay they jabkay ab hum aketta Carrom khailtay hain jis mein mera Bhai, Bhabi, Behan kaafi aur chaaye ke sath is mein shaamil hotay hain. Majid neh kaha ke jab Jeddah mein Curfew ka elaan huwa to mein neh Website ke zariye Carrom Board ka Order kiya jo 2 din baad 90 Riyal mein mujhe ghar par pouncha diya gaya. Mojooda dinoun mein Carrom Board 300 Riyal se 400 Riyal tak farokht ho raha hai jabkay kayi dukanon aur Online farokht kanandah ke paas is ka Stock khatam bhi ho chuka hai.

Carrom Board khailnay ke liye kalay aur safaid rang ki gole shakal ki 9,9 Gotioun ( Coin ) ko Board ke wast mein ek khaas tarteeb se rakha jata hai. Kaali gotioun ko Y ki shakal mein aur safaid Gotioun ko un ke sath aisay tarteeb mein rakha jata hai ke un ke bichoun beech surkh rang ki ek got rakhi jati hai jisay malika ya Queen ka naam diya gaya hai. Ek baday Size ki got Striker ki madad se khiladi apni janib ki line se gotioun ko samnay kono mein mojood gole Pocket mein pohanchanay ki koshish karta hai jo kheladhi malika ke sath apni doosri gote Pocket karleta hai wo jeet jata hai.

Carrom Board khailnay waloun neh kaha hai ke ye khail kayi dahaiyo qabal bar e sagheer se Hijaz ki rastay taajiroun ke zariye Saudi Arab pouncha hai. Is ke baad ye masharti zindagi ka hissa ban gaya hai, Jis mein bachoun ke sath khawateen aur buzurgoun ki bhi dilchaspi hai. Saudi Artist nijaat mutaher ne khobsorat tasweer ke zariye is khail aur khandan ke talluq ko ujagar kiya hai jis mein Dada, Dadi, Apne Pote ke sath Carrom Board khail rahay hain.

Saudi Maahir bashriyat Saad Al-Suwaan ne Carrom Board ke mutaliq kaha hai ke ye Saudi Arab mein kayi nasloun se khela ja raha hai aur is khail mein omar ki koi had muqarrar nahi. Unhoun ne apni tehreer Saudi Arab ki riwayati saqafat ki baarhavin jald mein is maqbool khail ko kharaaj tehseen pesh karte huve Arab aur Saudi masharti zindagi mein is ki ahmiyat ka zikar kiya hai.

Jeddah mein mojood 39 sala ustaad Naheed Noor ne kaha ke mein ek arsay se apni Ammi aur ghar ke deegar ahal khanah ke sath Carrom Board kheltaa raha hon. Ye bohat dilchasp aur zabardast mazay ka khail hai. 2 bachuon ke waalid Naheed Noor ne kaha ke guzashta dinoun is khail ki aadat khatam hogayi thi lekin ab phir usay apne khandan ke sath dobarah apna liya hai.

Naheed ne kaha ke ye khail mushkil ke waqt ek dosray ko lutaf andoz kar deta hai. Hum sab ghar mein mojood hain. usay Numbers ke sath bhi khela jata hai jaissa ke 10,5 aur Queen ke 50 number ziyada number haasil karne wala jeet jata hai. Queen ke sath doosri got Pocket karna zurori hai. Unhoun ne mazeed kaha ke Carrom Board Boor daur karne ka behtareen zareya hai. Hum sab puranay Carrom Board ko nikaal kar dobarah khelna shuru kar rahay hain. –YTN STAFF