Beirut: Lebanon ke dar-ul-hakoomat Beirut governor ne Marwan Abboud kaha hai ke bandargaah ke ilaqay mein tabah kun dhmakon ke nateejay mein 3 se 5 arab dollar tak maali nuqsaan huwa hai aur makanaat aur emiratein tabah honay se kam se kam 3 lakh afraad be ghar hogaye hain. Marwan Abboud ne sahafion se guftagu karte hue kaha hai ke Engineer aur Technical temen abhi dhmakon ke nateejay mein honay wali tabah karyon ka sarkari takhmeenah laga rahi hain lekin mere khayaal mein dhai se 3 lakh afraad be ghar hogaye hain.
Unhoun nay mazeed kaha ke Beirut ki bandargaah ke nazdeek godaam mein tabah kun khatarnaak dhamakay se aadha shehar mutasir huwa hai. Dhamakay ke baad bandargaah ke aas paas senkedon kaseer manzila emiratein malbay ka dhair ban gayi hain aur shaahrahon par khadi senkedon gadiyaan tabah hochuki hain. Lebanon ki anjuman Halal Ahmar nay tabah kun dhamakay mein 100 se ziyada halakaton ki tasdeeq ki hai aur kaha hai ke 4000 se ziyada afraad zakhmi hue hain.
Lebnani hukkaam ny kaha hai ke dhamakay mein marnay walon ki tadaad mein izafay ka andesha hai kyunkay dosray din bhi imdadi karkunaan tabah shuda imaarton ke malbay taley afraad ko nikaal rahay they aur bohat se loog lapta hain. Beirut mein haliya barson mein ye sab se taaqatwar dhamaka tha. Lebnani wazeer-e-sahet Hamad Hassan ny kaha hai ke nagehani soorat-e-haal se nimatnay ke liye darkaar imdadi ashya ki ek fehrist muratab kar li gayi hai aur is ko mutadid mumalik ko bhaij diya gaya hai. Duniya bhar se talluq rakhnay walay mumalik ny Lebanon ko dhamakay ki tabah kadiyon se nimatnay ke liye mumkin emdad mehya karne ki pesh kash ki hai.