Beirut: Zuqan Abdal Khaleq 2012 se Beirut ki American University ke medical center mein bator nurse kaam karte they lekin senkdoun deegar sathiyoun sameit un ko mulazimatoun se bar tarf kardiya gaya. Khabar-rasan idaray ke mutabiq Lebanon mein kharab muashi halaat ki wajah se dawakhane bhi buri terhan mutasir hue hain. 29 baras ke Zuqan Abdal khaleq ney kaha hai ke un ki choti bachi hai jis ke khoraak aur pani chahiye aur is ki vaccine ke liye bhi adaigi karni hai.
unhoun ne kaha ke currency mein giravat ka matlab hai ke Labanani pounds mein is ki pension 500 Americi dollars ke lag bhag hai. Zuqan Abdal Khaleq ne hukmaran tabqay ko bijli ki load shedding, Qeematoun mein izafay aur mulk ko tabahi ke dhanay par laane ka ilzaam lagaya hai. Aap is se ziyada kuch nahi kar satke, Aaj kal kon nokari deta hai? Wo hamein yahan tak laaye aur ab wo aap ko batatay hain ke jayen khaiti baadi karen aur mom batian khareedain, Aap theek ho jaien ge.
Media ke kayi baar raabtey ke bawajood bairout mein American University ney is muamlay par tabsarah nahi kiya. Muqami media aur mulazmeen ke mutabiq ke university ney 500 se ziyada mulazimeen ko bartarf kiya hai. Mulazmeen ko intizami aur Nursing ke shobo se bar tarf kiya gaya hai. May mein university ke sadar Fedlu Ghodi ney media se kaha tha ke kharab maali sorat e haal ki wajah se university ke amlay mein kami ki jaye gi. Info Piro Firm ki Survey ke mutabiq Lebanon ke khangi shobo mein october aur Feb mein 2 lakh 20 hazaar mulaazmaten khatam ki gayeen.
University ke ek aur mulazim Mahmood bhi nokari se bar tarf kiye gaye hain, Unhoun neh kaha ke jab se Labnani pound ki qader mein kami hui hai un ki aamdani taqreeban 100 dollar reh gayi thi. Unhoun neh mazeed kaha hai ke kya hum university par boojh hain? hum is muashi sorat e haal se buri terhan mutasir hue hain, Hamara koi nahi ke hamari madad kar saken. University ke sabiq talba neh social media par mulazmeen ko bartarf karne ke mauqa par security forces ki mojoodgi par tanqeed ki hai.
5 bachoun ke waalid 59 baras ke Khalid Al Humsi neh kaha ke unhoun neh university mein din raat guzaray. Ye mera ghar hai. Un ke mutabiq unhoun neh 35 baras university mein kaam kiya aur aakhir mein ye kiya ke un ko nikala gaya. Wo apne mustaqbil ke liye pareshan hain ab 1 million lira ( labnani pound ) 100 dollar ke barabar hai, Mein is raqam se kiya kar sakta hon?