Slider

Lebanon ki fouj ko Beirut bandargaah ke qareeb 4 ton Ammonium Nitrate dastyab

By News Desk Roman Urdu

September 04, 2020

Beirut: Lebanon ki fouj ne kaha ke usay Beirut bandargaah ke dakhli rastay ke qareeb 4.35 ton Ammonium Nitrate mila hai, Jo guzashta mah ek intahi baday dhamaka ki wajah isi chemical ka bada zakheera tha. Fouj ke ek bayan ke mutabiq, Fouj ke Engineer is ki tehqiqaat kar rahay hain. Lebanon Fouj ke zaraye ki janib se jari kardah bayan mein kaha gaya hai ke yeh chemical ka zakheera bandargaah ke dakhli rasta no ke baher paaya gaya hai.

August ki 4 tareekh ko hue tabah kun dhamakay se shehar phatt pada they aur qareeb 190 afraad halaak hogaye. Hukkaam ney kaha ke is ki wajah taqreeban 2,750 ton Ammonium Nitrate thi jo barson se bandargaah ke ek godaam mein ghair mehfooz haalat mein thi. Dhamakay ney pooray shehar ko tabah kardiya hai, Emaratein ghander mein tabdeel hogayi aur 6000 afraad zakhmi hogaye.

Muashi bohraan ki zad mein anay ke baad awam ke gham-o-ghusse ke darmain Lebanon ki hukoomat ny iqtidaar chod diya lekin is ke baad Lebnani awam ko yeh fikar la-haq rehti hai ke khatarnaak mawaad ko buri terhan se zakheera kiya ja raha hai, Jis se inhen khatrah la-haq hai. Qabal azeen sadar Michel Aoun ny Beirut Airport par puranay refilling Infrastructure ki murammat ka hukum diya tha aur is report ki tehqiqaat ka bhi hukum diya tha jis mein hazaron liter eendhan ka ikhraj ki baat kahi gayi hai.

Beirut Airport ke sarbarah Fadi Al Hasan neh ek News Conference mein kaha hai ke March 2019 mein 84 hazaar liter eendhan ka ikhraj huwa tha aur is ki murammat do mah mein mukammal hogayi thi. Unhoun neh kaha ke bain ul aqwami tafteesh karon neh marammat ko itminan bakhash qarar diya hai. Eendhan ke ikhraj ki un khabron neh awaami tahaffuz se mutaliq khadshaat ko mazeed badha diya. Hamein kisi dhamakay ka khadsha nahi hai.