Trending News

Lebanon ke Wazeer-e-Azam Hassan Diab ne istifa day diya

By News Desk Roman Urdu

August 11, 2020

Beirut: Lebanon ke wazeer-e-azam Hassan Diab Beirut dhmakon ke baad peda honay wali sorat-e-haal aur hukoomat mukhalif muzahiron ke paish-e-nazar kabeena sameit mustafi ho gaye hain. Hassan Diab nay hukoomat ka istifa sadar Michel Aoun ko pesh kiya jo unhoun nay manzoor karliya. Sadar nay nai hukoomat ki tashkeel tak inhen kaam jari rakhnay ki hidayat ki hai.

Francesi khabar rasan Agency ke mutabiq TV par khitaab karte hue Hassan Diab nay kaha ke aaj hum logon ko aur un ke mutalibaat sun rahay hain ke is aafat ke jo zimma daar hain un ki sarznish ki jaye.

Unhoun nay 4 August ko hue dhmakon ka ilzaam Lebanon mein guzashta 30 baras se hukoomat karne wali ‫is jamaaton par ayed kiya. Media ke mutabiq Beirut mein 4 August ko honay walay dhmakon mein kam az kam 163 afraad halaak ho ye hain aur 6 hazaar se ziyada zakhmi hue hain. Television par khitaab karte hue Wazeer-e-azam nay kaha ke wo Lebanon ki awam ke un mutalibaat ki himayat karte hain jin ke tehat wo is jurm mein mulawis afraad ke khilaaf karwai chahtay hain.

Wazeh rahay ke Hassan Diab ny ye elaan kabeena ke ijlaas ke baad kiya. Lebnani hukoomat ki kabeena Iran haami Hezbollah Group aur is ke itihadiyon ki himayat ke baad bani thi. Siyasi zaraye ke mutabiq Lebanon ki hukoomat se kayi wazeer mustafi hona chahtay hain. Hassan Diab ne kaha tha ke wo parliamani intikhabaat waqt se pehlay karne ki darkhwast den ge. Beirut mein muzahiron ka silsila dobarah shuru ho gaya tha aur kuch muzahireen parliment ke dakhli rastay par tayenat security forces par pathrao karte rahay jis ke jawab mein security forces ny muzahireen par ansoo Gas ki shelling ki.

Lebnani awam ne sadar Michel Aoun se bhi istifa talabb karne ke liye muzahiray ki Appeal ki hai. Beirut se milnay wali reports mein bataya gaya hai ke teesray din bhi muzahiray jari rahay. Parliament House ke ateraaf kasheedgi badh rahi hai. Muzahireen ki tadaad mein izafah hota ja raha hai. Beirut mein ek Engineer ne media numainday se kaha ke pooray nizaam hukoomat ko tabdeel karne ki zaroorat hai. Nai hukoomat ke anay se koi farq nahi pade ga. Hamein fori intikhabaat ki zaroorat hai.

Wazeer it-tila-aat aur maholiyaat aur deegar qanoon sazoon ney istifa day diya tha jabkay wazeer insaaf dosray din mustafi ho gayeen. Finance Ministry Ghazi Wazni ke qareebi zaraye ke mutabiq wo bhi mustafi honay walay they. Is se qabal Lebnani media ney sadar ke parliamani group se talluq rakhnay walay rukan parliment ke hawalay se kaha tha ke agar hukomat mustafi nah huvi to usay jumaraat ko parliment bar tarf karde gi.

Qabal azeen Lebanon ke sadar ne kaha tha ke dhamaka khaiz mawaad kayi barson se bandgah par ghair mehfooz tareeqay se rakha kiya gaya tha. Baad azan unhoun ne kaha ke is baat ki tahaqeeq ki ja rahi hai ke dhamakay bairooni mudakhilat, Ghaflat ya ek haadsay ke nateejay mein huve. Paiir ko Lebnani fouj ne kaha ke malbay se 5 mazeed lashain nikaali gayi hain aur amwaat ki kul tadaad 163 ho gayi hai aur raahat kaari ki karwai jari hai. Media aur wazarti zaraye ka hawala dete hue likha ke kabeena ne dhmakon ki tehqiqaat ka maamla juditional council ko bhejnay ka faisla kiya tha jis ke par appeal nahi ki ja sakti.

Guzashta 2 roz se jari hukoomat mukhalif muzahiray pichlle saal October mein honay walay muzahiron se bohat baday thay. Kuch Lebnani shehrion ko is baat par shak hai ke aisay mulk mein tabdeeli aa sakti hai jahan firqa waranah zehan ke sayasatdan 1975 se 1990 tak musallat rahay. Dhmakon mein tabah ho jaane wali Electricity Company ke ek mulazim ne kaha ke ye nizaam kaam nahi kere ga, Ye wahi loog hain. Ye mafia hai.