Dubai: Jab lakhoun ki qeemat wali ashya chand rupiyoun mein farokht karne lagey to har kisi ko shak aata hi hai aisa hi ek waqea Dubai mein pesh aaya. Dubai ki fouj daari adalat ne zeyorat aur qeemti ghadhiyoun ke Showroom mein safai karkun ko ek baras qaid aur be dakhal karne ki saza suna di.
Asia karkun ne Gold Market ke Showroom se 86 qeemti ghadiyaan chori ki then un ki qeemat ka takhmeenah 83 lakh 75 hazaar Dirham lagaya gaya hai –Dubai adalat ne 2 aur Asia bashindoun ko yahi saza sunai jinhoun ne chori ke baray mein ilm honay ke bawajood ghadiyaan khridi then. Showroom ke maalik ne tehqiqaat ke douran kaha kay is ka kaam zeyorat aur qeemti ghadhiyoun ka hai ek din usay bataya gaya ke Cartier ghadi kachray daan mein mili hai ghadi mein pachaas feesad sona aur qeemti ashya istemaal ki gayi then is ki qeemat 30 hazaar Dirham se ziyada thi.
Showroom ke maalik ne kaha hai ke ibtida mein maamla sanjeedgi se nahi liya aur socha ke shayad ghalti se ye ghadi kachray daan mein gir gayi ho lekin jis Salesman ne ye shikayat ki thi is ne ek dosray Showroom ke ek aur Salesman ko is baat ki itelaa di phir dono ne CCTV cameron ki Rerecording dekhi jis se pata chala ke safai karkun ghadi chori karkay ek dabbay mein rakh kar kachray daan mein dala hai.
Maalik ne kaha ke mein ne karkun ko talabb kiya aur is se ghadi chori karne ka sabab daryaft kiya to karkun kehnay laga ke mujhe paisoun ki zaroorat thi is liye aisa kiya hai aindah nahi karoon ga. Showroom ke maalik ne apna bayan jari rakhtay huve mazeed kaha ke safai karkun ke bhai jo isi Showroom mein kaam karta hai ki mojoodgi mein karkun se dobarah pooch taach ki gayi tu is par is ne kayi ghadiyaan chori karne ka aitraaf kiya.
Is ne kaha ke mein ne Cartier Brand wali ghadi chori ki thi jis ki qeemat dhai lakh Dirham hai is ke ilawa ek aur qimti ghadi chori ki jis ki qeemat 2 lakh sattar hazaar Dirham hai. Karkun ne ye bhi aiteraaf kiya ke is ne ye ghadiyaan das, das hazaar Dirham mein ek Ashayi ko farokht kardi then.
Mulzim ne Public Prosecution ke samnay bayan dete huve iqraar kiya ke is ne Showroom se aur bhi ghadiyaan chori ki then. 2 aur mulzimaan ke bhi naam liye jis ke baad maamla fouj daari ki adalat mein pesh kardiya gaya hai. 2 mulzimaan Dubai se faraar hogaye un ke khilaaf un ki ghair mojoodgi mein muqadma chalaya gaya. Adalat ne tenun ko fi kis ek baras qaid aur maalik se be dakhli ki saza sunadi. –YTN STAFF