Exclusive

Kya Haj Camp mein waqai rooh parwar manazair dekhnay ko mil rahay hain. .. .?

By Abdul Aziz

August 02, 2018

Ather Moin

Haj Camp se aazmin Hajj ki rawaangi ki reporting karte hue sihafi hazraat dil par pathar rakh kar yeh likh to dete hain ke rawaangi ke waqt rooh parwar manzar thaiy magar haqiqat toh yeh hai ke Haj Housen Nampally ke ihata mein qaim Haj Camp mein aazmin Hajj ki rawaangi ka jo manzar hota hai woh rooh farsaa hai. Jo kuch in dinon wahan dekhnay ko aarhahe agar ehtyaat ko malhooz rakhen to kam azkam usay behudgion se tabeer karna padega. Aazmin e Hajj ko rawana karne se qabl jo Stage sajaya jata hai us par jagah panay ke liye siyasi karkun oochi harkatein karne lagey hain. Aazmin se khitaab ke liye madou kuch aala qisam ke siyasi qaideen ki jo taqareer horahi hain us se aisa lag raha hai ke un ke siyasi aaqaon ki jo karam farmaniyan un par hui hain woh us ka haq ada kar rahay hain. Ulama o Mashaykheen ko bhi aazmin Hajj se khitaab ke liye madou kya jata hai jo aik rasam ki adai ke siwa kuch nahi hai. Woh safar e Hajj par rawana honay walay khush naseeb Zuyuf ur   Rehman ko manask e Hajj ki adayi ke douran jo ehthyat ko malhooz rakhna hai us par roshni to daaltay hain magar Haj Camp mein jo kuch ho raha hai shaed woh nahi dekh paarhe hain ya phir un mein bhi itni jurraat baqi nahi rahi ke woh apne saath shahnasheen par baithnay walay siyasi qaideen aur Haj Committee ke zimm- daaron ko pund o nasihat karen ke dosaron ki ibadat k u apni ryakari aur shohrat panay ka zareya na banaya jaye. Aazmin e Hajj ki basoon ko jhandi dikhaane ke waqt to siyasi karkun tasweer ke frame mein anay ki khatir aisi dhinga mashti karte hain ke unhen dekh kar shareer bachay bhi sharmaa jayen. Us waqt aik toofaan e badtameezi khada hojata hai jo us waqt tak jaari rehta hai jab tak un ki tasweer kashi karne walay Photographers taswerain khenchna band na kar dein. Haj House ke dar-o-deewar ko dekhen to aisa lagta hai ke yahan se aazmin Hajj ko rawana nahi kya jata hai balkay yahan abhi abhi zirayi market committee ke intikhabaat hue hain. Aala ohdon par fayez barsr e iqtedaar siyasi party ke qaideen mein aik qisam ki musabiqat nazar aati hai ke kis ka banner kitna purkashish hai aur kis ko kitni numaya jagah mili hai. Poster baazi ki jiddat ko dekh kar koi hukoomat se yeh mutalba na krbithe ke Haj Camp ke ekhtataam par in poster muqablon par inaam rakh diya jaye. HajjRabb ke liye ki jaaane wali aik khalis ibadat hai magar is ko siyasat zada kardiya gaya hai. Siyasi qaideen, aazmin Hajj ki khidmat ke naam par apni siyasi dukaan chamkanay mein lagey hue hain. Koi ghirat mand aisa nahi hoga jo in harkaton ko gawara kere. Aik ajeeb baat dekhnay mein aaye hai ke hamaray siyasi kaarkunon ko aazmin Hajj ki naam nihaad khidmat ka khayaal unhi dinon mein aata hai jab un ki party brsraqtdar rehti hai. Un ki party ke oppostion mein jatay hi yeh siyasi karkun bhi bilaa lehaaz party, Haj Camp se gayab ho jatay hain. Shaed un ke oppostion mein chalay jaaane se Hajj ki sharayi ahmiyat ghatt jati hai ya phir woh samjhtae hain ke sirf Iqtidaar mein rehne par hi aazmin Hajj ki khidmat karni chahiye. Is ke barkhilaf Millat ke naujawanon ka aik khamosh giroh bhi hai jo har saal pabandi se aazmin Hajj ki khidmat discipline ke sath anjaam deta hai, yeh na hi tasweeron mein atay hain aur na hi Haj Camp mein sarbarah ki jaaane wali ashyae khord o nosh istemaal karte hain. Kash ke ryakaari ku chodh kar Allah ki raza ke liye aazmin Hajj ki dil se khidmat ki jati.