Tabah kun baarisho ne tareekhi imaraat ke kayi hisson ko kamzor kardeya
Hyderabad: Shehar Hyderabad mein mosla dhaar barish ne nah sirf rehaishi aur tijarti imaarton ko tabah kardiya ya khatray se dochar kardiya balkay Hyderabad ki sab se qeemti yadgaron mein se ek 502 sala qadeem Golconda Qila ko bhi mutasir kardiya hai aur is ki kayi divaaren kamzor hochuki hain aur kisi bhi waqt tareekh ka kuch hissa khatam ho sakta hai.
Golconda Qila ke naya Qila ke ilaqay mein mojood Majnu Bridge ka ek hissa jis mein peetal ki badi tadaad mein topain mojod hain 12 October ko shadeed baarisho ke sabab gir gayi. Sirf 6 din ke baad Sri Jagdambika Devi Temple mandir ke samnay Qila ke andar 20 feet ki deewar ka ek aur hissa jummay ki barish ki wajah se gir gaya.
Is muamlay ke baray mein baat karte hue Hindustan ke assaar Qadima ke survey ke ek ohdedar jo apna naam zahir nahi karna chahtay thay, Unhoun ne kaha Shahi rastay ki seedhiyan Aur pathar Sri Jagdambika Devi Temple ke qareeb deewar, Uqbi deewar aur dosray kunwan ke qareeb ek dhancha barish se mutasir huwa hai jo tareekhi imarat ke liye ek ahem nuqsaan hai. Unhoun ne mazeed kaha ke is waqea ki hum ne apni Report nai Delhi ke Head Quarters ko bhijwa di hai aur unhoun ne hum se jald hi is par Tazaeen-o-Araish ka kaam shuru karne ko kaha hai. Golconda mumlikat par hukmarani karne walay Qutub Shahi khandan ke hukmaran Qila ki chouti tak ghoron par sawaar honay ke liye Shahi rastay ka istemaal karte thay lekin haliya tabah kun barish ne taqreeban 5 meter chattaan ki deewar rastay gira diya hai.
Mazkoorah ohdedar ne aitraaf kiya ke Qila ke kuch dosray hissay bhi kamzor ho chukay hain jin par bhi ab sawalia nishaan lag chuka hai. Tareekhi imarat mein deegar kayi hissay hain jin mein ziyada tar divaaren jo kamzor hain aur un shadeed baarisho ki wajah se mutasir hosakti hain aur un ke munhadim honay ka khauf bhi hai, Taham saqafati virsa ke karkunaan yadgaron ki dekh bhaal ke baray mein sarkari tor par be hisi se dochar hain.
Intach Hyderabad Chapter ke Convener Anuradha Reddy ne kaha haliya tabah kun baarisho ne hum se bohat kuch chean liya Sirf Golconda hi nahi Qila Shahpur ka kuch hissa chand din pehlay munhadim huwa hai. Is waqea se mein bohat ghumzdaa hon. Yeh dono yadgarin bohat qeemti hain aur inhen hukoomaton ko bachana chahiye. Chunkay yeh purani emiratein hain unhein ziyada paisa aur afradi qowat ki zaroorat hai jis mein hakoomaten sarmaya kaari nahi karna chahti hain.