Trending News

Kuwait mein Iqama ke kaarobar mein mulawis 526 afraad giraftar

By News Desk Roman Urdu

July 07, 2020

Kuwait City: Kuwait ke naib wazeer-e-azam o wazeer-e-dakhla Anas Al Saleh ne kaha hai ke Iqama ke kaarobar mein mulawis 526 afraad giraftar karliye gaye. Un par 282 muqadmaat hain. Website ke mutabiq Anas Al Saleh ne kaha ke Kuwait hukoomat ne mulk mein ghair qanooni tor par muqeem tarikeen watan ko islaah haal ki mohlat di thi jis se 26090 afraad ne faida uthaya. Un mein se kuch loog Kuwait se safar kar gaye. Inhen corona waba ke mahol mein bain ul aqwami parwazoun par pabandi ke bawajood safar ki sahoolat di gayi. Un mein se 200 afraad aisay hain jo abhi tak Kuwait mein rahaish pazeer hain.

Anas Al Saleh ney mazeed kaha hai ke 417 companiyon ke 282 muqadmaat record par aeye hain. Jin se pata chala hai ke wo Iqama ke kaarobar mein mulawis hain. Un se pooch taach shuru kar di gayi hai. 526 afraad ko hirasat mein le liya gaya. Un mein se 49 Kuwait shehri hain. Kuwait wazeer-e-dakhla ney kaha ke public Prosecution and Investigation board ke ohdedar Iqamas ka kaarobar karne waloun se pooch taach kar rahay hain.

Kuwait wazeer neh ye bhi kaha hai ke mulk mein ek jame qanoon ka musevida tayyar karliya gaya hai jis ke tehat nah sirf ye ke qanoon ki khilaaf warzi karne waloun ko sakht sazayen di jayen gi balkay khittay ke deegar mulkoun ke tajarbaat se bhi faida uthaya jaye ga. Is qanoon ke tehat har is shakhs ko jo Kuwait ki taamer-o-taraqqi mein hissa le ga is ki hosla afzai ki jaye gi.

Wazeer-e-Dakhla neh kaha ke ziyada se ziyada 2 haftay ke andar naye qanoon ka musevida behas ke liye parliament ke hawalay kar diya jaye ga. Umeed hai ke arkaan parliament ghair qanooni qiyam ki aafat se mulk ko nijaat mulk ko nijaat dilanay ke liye bharpoor taawun den ge.