Slider

Kuwait mein bhi Shehriat Tarmeemi Qanoon manzoor , Bewa ko shehriat dainay ki raah hamwar

By News Desk Roman Urdu

January 28, 2020

Kuwait city: Un dinoun jahan Hindustan mein Shehriat Tarmeemi Qanoon saari duniya mein apni janib tavajja mabzol karwachka hai wahein Kuwait mein bairooni mumalik ki bewa ko Shehriat dainay ki sifarish zor pakadrahi hai. Tafseelaat ke mutabiq Kuwait parliament mein androoni umoor aur dakhla committee ne Kuwait shehri ki ghair mulki bewa ko shehriat dainay ki sifarish ki hai. Muqami akhbar Al-Anba ne jo khabar shaya ki hai is ki roshni mein parliament ke rukan Sadoon Hamood ne press conference se khitaab karte hue kaha hai ke committee arkaan ki aksariyat ne shehriat ke qanoon mein tarmeem ki manzoori di hai. Kuwait shehri ki bewa ko shehriat dainay ke qanoon ki manzoori parliament mein pesh ki jaye gi.

Unhoun ne kaha hai ke tarmeem ke baad mujawaza qanoon mein sifarish ki gayi hai ke Kuwait shehri ki bewa ko shadi ki tareekh se 5 saal baad shehriat haasil karne ka haq hai. Is ke liye shart ye hai ke wo is arsay ke douran Kuwait mein muqeem rahi ho aur is ke haan Kuwait shohar se bachay hon. Unhoun ne kaha hai ke sharait par poori uturney wali ghair mulki bewa ko shehriat dainay ke liye ye zurori nahi ke Kuwait shohar ne apni zindagi mein usay shehriat dilanay ki darkhwast daakhil ki ho. Rukan parliament ne kaha hai ke mujawaza tabdeeli ke baad bewa ko shehriat dainay ka qanoon is khatoon par bhi hoga jis ki asal shehriat maloom hai aur is par bhi hoga jis ki shehriat maloom nahi. –YTN STAFF