Latest News

Kuwait mein berooni khawateen ka maa ban-na dugna mehanga, zichgi ki fees mein 100 feesad izafah

By News Desk Roman Urdu

October 16, 2019

Kuwait city : Kuwait ki hukoomat ne mulk mein muqeem ghair mulki khawateen ke liye zichgi fees mein 100 feesad izafah kardiya hai. normal delivery par pehlay 50 deenar dawakhane ki fees wusool ki jati thi jisay ab badha kar 100 dinar kardiya gaya hai.

Muqami akhbar ke mutabiq Kuwaiti wazeer-e-sahet Dr Basel al subah ne faislay ki manzoori deydi hai aur nai fees par amal bhi shuru hochuka hai. mulk ke tamam dawakhanoun ko jari honay walay aalamia mein kaha gaya hai ke (cesarean) operation ke zariye honay wali wiladat par 150 dinar fees muqarrar ki gayi hai.

Wizarat sahet ne kaha hai ke normal aur cesarean par li jaaney wali fees mein ultra sound, laboratory test aur adwiyah shaamil hain taham kisi bhi wajah se khatoon ko dawakhane mein daakhil kiya gaya to is se alag fees leni hogi. is se qabal zichgi ki soorat mein khatoon ko 3 din ke liye dawakhane mein daakhil kiya jata tha. izafi din par mushtarqa kamray ke liye 10 dinar aur khangi kamray ke liye 50 dinar wusool kiye jatay they . Naye faislay ke mutabiq ek din ke liye mushtarqa kamray ki fees 10 dinar jabkay khangi kamray ki fees 100 dinar muqarrar ki gayi hai. wizarat sahet ne kaha hai ke ghair mulki khawateen ke liye zichgi fees mein izafay ka faisla ghhor-o-khoz ke baad kya gaya hai. sahet ke shobay mein hukoomat ko bada fund mukhtas karna padta hai.

Wizarat sahet ne kaha hai ke sarkari dawakhanoun mein ghair mulkion ke liye muqarrar kardah feesain khangi dawakhanoun ki fees se behar haal kam hain. wizarat sahet ne mazeed kaha hai ke sarkari dawakhanoun mein ghair mulkion se li jaaney wali fees se sahet khidmaat ke miyaar mein behtari aayegi. –YTN STAFF