Kuwait City: Kuwait ke wazeer e sahet Basel Al-Sabah ne kaha hai ke Coronavirus ki wajah se jin mushkelat- ka saamna karna padh raha hai un se bakhoobi aagah hain aur ye kehna mushkil hai Eid Ul-Fitr ke baad halaat mamool ke mutabiq hojange taham is hawalay se bharpoor koshish kar rahay hain ke ayed ki jaaney wali pabandioun ko jahan tak mumkin ho sakay marhala waar aassan kiya jaye.
Kuwait News Agency ke hawalay se kaha gaya hai ke Kuwait wazeer e sahet ne Press Conference se khitaab karte huve kaha ke Kuwait bhi isi duniya ka hissa hai jis terhan deegar mumalik mein is waba se loog mutasir ho rahay hain. Unhoun ne kaha ke ye nahi kaha ja sakta ke Kuwait is se khaali hai deegar mumalik mein jis terhan Coronavirus ke khilaaf Frontline par kaam karne walay tibbi o deegar askari ya falahi idaray ke ahelkaar mutasir ho rahay hain wahan Kuwait mein bhi is ke asraat hain.
Kuwait wazeer e sahet ne mazeed kaha ke is amar ka hamein har soorat mein khayaal rakhna chahiye ke Corona se jald az jald chudkara haasil karne ke liye muqarara ahteyati tadabeer par sakhti se amal kiya jaye aur hathoun ko hamesha dhotay rahen jabkay samaji raabtey ke silsilay ko earzi tor par munqita rakhen.
Corona ki Vaccine ke hawalay se ek sawal par Kuwait wazeer e sahet ne kaha hai ke abhi tak is barey mein koi hatmi baat nahi kahi ja sakti ke is virus ki vaccine tayyar hochuki hai taham is barey mein wasee pemanay par tajarbaat jari hain. Abhi tak baaz adwiyaat jo zair istemaal hain wo kisi had tak marz mein muawin saabit horahee hain taham mukammal ilaaj abhi tak daryaft nahi kia ja sakta hai.
Wizarat sahet ki zair nigrani tayyar honay wala 1250 bestroun par mushtamil hospital Al-Ardiya ke ilaqay mein taamer kya jaraha hai. Dawakhana mein Pharmacy aur Quarantine markaz bhi banaya gaya hai jahan aalmi miyaar ki tibbi saholaten faraham ki jayengi. –YTN STAFF