Trending News

King Fahad Library mein 1100 baras qadeem Quran pak ka nuskha

By News Desk Roman Urdu

May 15, 2020

Riyadh: King Fahad qaumi library mein 1100 baras qabal Quran pak ka aisa nadir nuskha mehfooz hai jo chamday par likha huwa hai. Yahan Quran pak ka ek aur nadir nuskha bhi mojood hai jo khat naskh mein hai. Mahireen ka andaza hai ke ye dasvin sadi hejri mein likha hoga. Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq library ke secretary general Mohammad Bin Abdalaziz Al Rashid ney kaha ke King Fahad qaumi library qalmi nuskhoun ke tahaffuz par kaam kar rahi hai. Afraad aur idaroun ke yahan mehfooz qalmi nuskhoun ka indraaj bhi kiya ja raha hai.

King Fahad qaumi library Saudi Arab ke mukhtalif ilaaqoun ki Library mein mojood asli qalmi nuskhoun ka data bhi tayyar kar rahi hai. Is hawalay se aaccha khasa kaam karliya gaya hai. King Fahad qaumi library qalmi nuskhoun ke malikaan ko qalmi nuskhay Sanitize karne ki sahoolat bhi muhayya kar raha hai. Aisa karne se qalmi nuskhay ki omar badh jati hai. Library is qisam ke nuskhoun ka baqaida dastawizi Card bhi jari karti hai.

Al Rashid ney kaha hai ke King Fahad qaumi library 73 hazaar qalmi nuskhoun ki photo copies bhi jama kar chuki hai jabkay is ke yahan 6 hazaar nayaab dastawizaat ka khazana bhi mehfooz hai. King Fahad qaumi library kayi baras qalmi nuskhay aur dastawizaat jama karanay ki muhim chalaye huve hai. Library mein 90 hazaar nayaab qalmi nuskhay mehfooz kiye ja chukay hain.

King Fahad qaumi library 1403 hejri mutabiq 1983 mein Saudi dar-ul-hukoomat Riyadh mein qaim ki gayi. Is ka maqsad androon o beroun mulk Saudi shehrioun ki tamam nikarashat mehfooz karna hai. Library mumlikat se mutaliq androon o beroun mulk jo kuch shaya hota hai usay haasil karkay apne Record ka hissa banaliti hai.

King Fahad library ki shuruvaat muqami library ke tor par huvi thi. King Salman ki tajweez par ( Governor Riyadh ki hesiyat ) se usay Saudi Arab ki qaumi library mein tabdeel kardiya gaya. King Fahad qaumi library 58 hazaar murabba meter ke raqbay mein bani huvi hai. 30 hazaar murabba meter par library park banaya gaya hai. Library mein 300 gadiyoun ki parking bhi bani huvi hai. Library 4 manzila hai. Ye Arab tarz taamer aur sang mar-mar ke nuqoosh se muzayyan hai. –YTN STAFF