Jurm

Khud sakhta Godman par asmat raizi ka ilzaam

By Abdul Aziz

June 11, 2018

Khatoon ny ilzaam aed kya ke do baras qabal shani dhaam mein is ki asmat raizi ki gayi

New Delhi. Aik khud sakhta Godman Daati Maharaj ke khilaaf new Delhi mein aik khatoon mutaqid ki mobayyana asmat raizi karne ke ilzaam mein muqadma darj kya gaya. police zaraye ke bamawajib itwaar ko Fatahpur Berry mein aik muqadma darj kya gaya aur baad azan district investy gation unit DIU ) ko muntaqil kardiya gaya. Daati Maharajke khilaaf qanoon tazirat hind ki daf-aat 376, 377, 354 & 34 ke tehat muqadma darj kya gaya hai. khatoon ny ilzaam aed kya ke do saal qabal shani dhaam ke andar is ki asmat raizi ki gayi. khatoon ny bataya ke khud sakhta Maharaj ke khauf se is ny waqea ke fori baad shikayat darj karwa nah saki thi