Hyderabad

Khud ho ke khatakar, Nikla tha maqtool Dr se insaaf ka mutalba karne

By News Desk Roman Urdu

December 01, 2019

Hyderabad: Hyderabad mein ek model ki janib se dair ki gayi shikayat ki bunyaad par Telangana ke nojawan BJP rehnuma Ashish Goud ke khilaaf jinsi harasani ka muqadma darj kiya gaya hai. Wo BJP ki Youth Wing, Bhartia Janta ‫Wa Morcha ( BJYM ) ke rukan aur sabiq rukan Assembly Nandeshwar Goud ke betay hain. Un ke waalid fil-waqt Telugu Desham Party mein hain.

Maz korh muqadma itwaar ke roz, Ek model ki janib se darj shikayat ki bunyaad par darj kiya gaya. Shikayat kardah ne ilzaam lagaya ke Hyderabad ke hotel Madhapur ke Pub mein Ashish Goud ne inhen jinsi tor par harasan kiya tha. Ye maamla is waqt samnay aaya jab Ashish Goud ne Telangana ki ek khatoon Vaterinary Dr se insaaf ke husool ke liye muzahira kiya, Jisay Ismat darri ke baad jala diya gaya tha.

Model ki shikayat ke mutabiq, BJP ke Youth leader ne ek Pub mein usay aur is ke dostoun ke sath badsulow ki. Unhoun ne ilzaam lagaya ke wo 2 deegar afraad ke sath thi. Ye khabar ek aisay waqt samnay aayi hai, Jab mulk Telangana ki ek khatoon Vaterinary doctor ke sath ismat darri aur qatal case mein insaaf ka mutalba kar raha hai, Jis ki jali hui laash Hyderabad ke muzafaat mein mili thi.

Charshumba ki raat Telangana ke Shamshabad mein 26 sala Vaterinary Dr ko 4 afraad, Jinmen Lori drivers aur cleaners shaamil hain, Ne ismat darri ke baad be-dardi se jala kar maar dala tha. Police ne tez raftaar karwai karte hue jummay ke roz un charoun mulzemin ko giraftar kar liya tha. Jis ke baad un mulzimaan ko sakht se sakht saza dainay aur maqtool Dr ke sath insaaf karne ka mutalba kiya ja raha hai. Aisay mein BJP ke youth leader ne bhi maqtool Dr se insaaf karne ka mutalba karte hue mazahire mein hissa liya, Aur ek model ki janib se unhi par jinsi harasani karne maamla darj kiya gaya.

Aisay mein ye sawal peda hota hai ke dosaroun ke liye insaaf ki battein karne walay hi, Is terhan ke ghenaone muamlay mein qasoor waar hon to dosaroun se kiya insaaf kar saken ge. –YTN STAFF