Hyderabad : All India Muslim Personal law board ( AIMPLB ) ki khawateen wing ki chief organizers Asma Zohrah nay kaha ke khawateen teen Talaq qanoon saazi ka hatmi shikar hogi, kyunkay woh apne gharon ko nuqsan pohanchaeingi aur apne shohroun ko nuqsaan pounchaingi.
Ek interview ke douran unhon nay Muslim mukhalif khawateen ( shadi par huqooq se mutaliq ) bill 2019 se mutaliq baat karte hue yeh baat kahi. unhoun nay kaha ke yeh poori tarhan se khawateen mukhalif bill hai, aur iska khawateen shikaar hongi.
Aisi aurat jo is tarhan ki pareshani mein mubtala hai, usay kuch nahi mileyga. haqeeqat mein woh khud ko bohat se tareeqon se nuqsaan pouncha rahi hain.
Is bill ke tehat ek shohar ke zareya teen Talaq dainay par teen saal ki saza di jayegi.
Unhon nay bataya ke gharelo tashadud ki shikaar khawateen ke liye, mulk mein’ gharelo tashadud se khawateen ka tahaffuz act’ mojood hai jis mein shadion mein honay walay ikhtilafat ki sulah ke liye bohat se darwazay khulay hain, jab ke is bill mein kuch nahi hai. jab ek aurat is bill ke tehat appeal karne jaye gi to woh khud hi apne ghar ko nuqsaan pohnchayegi.
Unka khayaal hai ke qanoon sazoon aur jajon ko bhi un mamlaat ko sanbhaalna mushkil hoga. Asmaa hamza Zohra nay mazeed kaha ke is bill se muslim khawateen ko ba ikhtiyar bananay ya un ke tahaffuz se koyi lena dena nahi hai. yeh sirf hukmran jamaat ki vote bank ki siyasat hai.
Zohra nay ilaqai hizab-e-ikhtilaaf ki jamaaton ko is bill ki mukhalfat nah karne par tanqeed ka nishana banaya, aur usay muslim baradri se dhoka qarar diya. unhon naay kaha ke oppostion rehnumao ke kamzor honay ki wajah se is ”tabahi ka saamna karna pada.
Unhon nay bataya ke 2 crore khawateen bill ki mukhalfat mein sadkon par nikal aayi hain. Zohra nay kaha ke ”ek aisay jamhoori mulk mein jahan tadaad ki qader hoti hai, hukoomat nay khawateen ki aawaz par ankhen band kee aur khud ko musalman khawateen ka masiihaa qarar diya. muslim khawateen achi terhan janti hain ke unke dushman kon hain aur kon un ke dost hain.
Zohra nay kaha ke hamaray bhai aur shohron par hungame tashadud ke khilaaf aawaz uthane wala koi nahi hai. aur yahan shohar aur biwi ke maamla mein parliament ke kayi ghantay zaya kar diye gaye hain.
Asma hamza Zohra nay yeh bhi kaha ke har is jamat aur rukan-e-parliment ka jinka is bill ki manzoori mein kirdaar hiyas ka jawab da hona chahiye. Aur jo kuch bhi huahai musalmanoun ko isse sabaq seekhna chahiye. –YTN STAFF