Slider

Khatarnaak Hyderabad ka mazboot Bangalore se muqaabla

By News Desk Roman Urdu

November 05, 2020

Abu Dhabi: Sunrisers Hyderabad aur Royal Challengers Bangalore ke darmiyan jummay ko IPL ka Eliminator muqaabla hoga aur faateh team ki umeeden baqi rahen gi jabkay harnay wali team ka IPL safar khatam hojaye ga. Hyderabad aur Bangalore dono ke points table mein 14 yaksaa points thay lekin run ki osat ki bunyaad par Hyderabad teesray aur Bangalore chouthay number par tha. IPL mein teesri aur choutha maqam haasil karne wali teams ke mabain Eliminator khila jata hai jis mein faateh team Qualifier ek mein shikast se do chaar hui team se muqaabla karna padta hai jabkay qualifier 2 mein harnay wali team ka safar khatam hojata hai.

Aakhri daud mein barqarar rehne ke liye dono teams ko jeetnay ke liye sakht mehnat karni hogi. Bangalore apne aakhri 4 league match harnay ke baad Playoff mein pouncha, Hyderabad apne aakhri 3 league match jeet kar Playoff mein pouncha hai. Yeh bhi dilchasp hai ke Hyderabad ne pichlle 3 matches mein Playoff ki deegar 3 teams ko shikast di hai. Playoff se qabal Hyderabad ne Delhi Capitals 88 runs se, Bangalore ko 5 wicket se aur Mumbai Indian ku 10 wickets se shikast di jabkay Bangalore ku Playoff se qabal Chennai Super Kings se 8 wickets se, Mumbai se 5, Hyderabad se 5 wicket aur Delhi se 6 wickets se shikast ka saamna karna pada.

Bangalore ki khush qismati thi ke is ka run rate Kolkata Kinght Riders se qadray behtar tha aur usay Playoff mein dakhila mila lekin Virat Kohli ki team ko ab qismat par nahi balkay karkardagi par agay dekhna hoga. Virat jantay hain ke unhein Playoff mein is team ka saamna hai jis ne usay 2016 ke final mein 8 runs se shikast di thi. Bangalore ki team ne Hyderabad ke 208 runs ke jawab mein 200 runs banaye thay. Is IPL ke teesray match mein Virat ki team ne Hyderabad ko 10 runs se shikast di. Kohli IPL mein aathween martaba Bangalore ki captani kar rahay hain lekin woh ek martaba bhi apni team ko champion nahi bana sakay hain. Kohli ko apni umeedon ku barqarar rakhnay ke liye yeh match jeetna hoga warna un ka khawab ek baar phir toot jaye ga.

Doosri taraf Hyderabad ke Captain David Warner 2016 ki jeet se tehreek lena chahtay hain. Warner ne kaha ke un ki team 2016 ke final se tehreek le kar match jeetna chahay gi. Warner ne kaha ke aakhri kuch match hamaray liye bohat achay rahay hain. Kohli ki zair qayadat Royal Challengers Bangalore ek umdah team hai. Un ke khilaaf challenge sakht hain. Hum ne inhen 2016 ke final mein shikast di thi aur is baar bhi hum aar paar ke match mein jeet ke mutamanni hain.

Warner ne kaha ke hum ne kabhi himmat nahi haari aur hum har match mein ek hi soch ke sath aaye hain. Hamaray kuch khiladi zakhmi hue thay lekin un ki naik tamannaye hamaray sath hain aur hum un ke liye jeetna chahtay thay. Agar hum aglay matches mein bhi yahi kaam jari rakhtay hain to hamein waqai bohat khushi hogi. 2016 ke IPL ki karkardagi ka zikar karte hue unhoun ne kaha ke hum 2016 ki karkardagi ko dekhte hain. Hum is waqt bhi isi haalat mein thay aur hamein har match jeetna tha jo hum ne IPL ka khitaab jeetnay ke liye behtar muzahira kiya tha aur is baar bhi hum yahi kar satke hain.

Kohli ne kaha ke mujhe lagta hai ke hum ne qualify karne ke liye Tournament mein umdah karkardagi ka muzahira kiya hai. Hamein Final se qabal 2 match jeetnay hain. Hamein aakhri overs mein batting mein aur bowling mein Power play mein behtar karkardagi ka muzahira karna hoga jo hamara mazboot pehlu hai. Yahan misbet hona bohat zaroori hai aur mujhe umeed hai ke Chris Morris aur Navdeep Saini aglay match ke liye fit aur team ke liye dastyab hon ge.