Hyderabad : 400 saal se zayed saal qadeem shehar-e-Hyderabad Mein darjanoun aisi qadeem Imaratein mojood hain jinki taamer taqreeban kayi dahe qabal hui hai aur yeh Imaratein ab khasta haal ho chuki hain jo ke mosam-e-barsaat ki taab nah lakar kisi bhi lamha nigehani haadsay ka shikaar ho sakti hain.
Rawan hafte sitaphal mandi mein paish aaya haadsa hunoz hyderabadi awam ke zehnon mein taaza hai jahan ek 14 mah ka sher khwar bacha imarat ki chath munhadim honay se faut hogaya aur agar GHMC ke hukkaam is haadsay ko ek intibah ke tor par qubool nahi karte hain to phir hyderabad bhi Mumbai ki tarhan nigehani waqeat ka shehar ban jayega. shehar Hyderabad ki beshtar qadeem Imaratein mitti aur gaaray se banai gayi hain jo ke khasta haal honay ke alawa mausam-e-barsaat mein kisi bhi waqt kisi nagehani haadsay ka shikaar ho sakti hain aur agar GHMC is muamlay mein chasham poshi ikhtiyar karta hai to phir hyderabad mein kayi nagehani waqeat runuma hosakte hain.
Hyderabad ke alawa Secunderabad ke alawa center zone mein bhi kayi aisi imaarton ki nishandahi ki ja chuki hai jo ke khasta haal hain jahan kisi bhi lamha Mumbai ki tarhan nagehani waqea runuma ho sakta hai jaissa ke Mumbai mein ek imarat ke munhadim honay se 12 afraad mout ki neend so gaye. yeh hi nahi balkay pukhta aur nai imaarton mein rehne walay bhi is khauf mein mubtala hain ke unke pados mein mojood qadeem aur khasta haal imarat kisi bhi lamha haadsay ka shikaar hosakti hai jis ka un par bhi asar hoga.
Khasta haal imaarton ki tadaad mein saal bah saal izafah hi hota ja raha hai halaank GHMC si ki janib se imaartoun ki nishandahi karne ke alawa hungami aur tarjeehat ki bunyaad par kayi imaarton ko munhadim karne ki karwai bhi ki jarahi hai lekin 2018 mein 434 khasta haal imaarton ki nishandahi ki gayi thi jabkay 2019 mein khasta haal imaartoun ki tadaad mein mazeed 331 imaartoun ka izafah hochuka hai aur is tarhan ab dono shehroun mein khasta haal imaarton ki tadaad 765 chuki hai. khasta haal imaarton ki nishand hi aur inhen zameen doze karne ke liye GHMC ki janib se jo mansoobah tayar kiya gaya hai is mein imaarton ki khasta haali ke mutaliq faislay kiye ja rahay. jin imaarton ki khasta haali par inhen foran munhadim karna chahiye inhen munhadim kya ja raha hai jabkay jin imaarton ko aahag pashi ke zariye behtar kiya ja sakta hai unki marammat ki ja rahi hai. –YTN STAFF