Hyderabad

Khangi Buses Se Shehar Ke Makhsoos Maqamat Par Shaam Ke Auqaat Traffic Masail

By News Desk Roman Urdu

April 29, 2019

Hyderabad: Kukatpally aur deegar aiteraaf ke ilaaqoun ke awam qaumi shahrah 65 ( Mumbai high way ) per musalsal Traffic jam ki shikayat kar rahay hain yeh traffic jam ka masla haliya dinoun ka nahi balkay guzashta chand buses  se jari hai .

Kukatpally ke awam ka kehna hai ke yahan rozana shaam ke auqaat khangi Buses  jo kay hyderabad se Mumbai aur deegar maqamat ke liye rawana hotay hain woh yahan chand maqamat se musafireen ko Buses  mein sawaar karte hain is wajah se yahan traffic ka masla darpaish hai. yeh traffic jam ka masla Nizaampet X road se musalsal agay badhatay hue Kukatpally junction tak jari rehta hai. Nizaampet se Kukatpally tak ki masafat aam auqaat mein 10minute mein tay ki jati hai lekin shaam 8 bajey ke baad yeh hi masafat tay karne ke liye taqreeban 25 minute ka safar tay karna padta hai .

Mazkoorah qaumi shahrah par rozana taqreeban 300 se 400 RTC bus musafireen ki maang ke mutabiq rawana hoti hain lekin RTC Buses  ke safar ka aaghaz shaam 4 bajey shuru hota hai aur chand ghantoun ke andar hi buses shehar se bahar nikal jati hain lekin khangi Buses  ki masrofiyat ka aaghaz shaam 8 bajey se 11 bajey tak rehti hain aur yeh khangi buses mukhtalif sadkoun par rasta tang kar deti hain jis ki wajah se traffic jam ka masla badh jata hai. aam dino ke baraks tatilat, Eid aur tehwar ke mauqa par sorat e haal mazeed sangeen hojati hai kyunkay ziyada tadaad mein musafireen apne aabadi maqamat aur deegar shehron ke liye rawana hotay hain jiski wajah se khangi Buses  ki tadaad mein mazeed izafah hojata hai aur traffic jam ka masla sangeen bhi ho jata hai. is rastay se guzarnay walay awam ne mutaliqa ohday daaron aur khangi buses  ke malkin aur travelers ki tavajja is janib mabzol karwai hai lekin iske bawajood mukhtalif maqamat par kukatpally ki tarha masail mojood hain kyunkay shehar-e-Hyderabad se Banglore Mumbai , Chennai , Aurangabad aur deegar ilaaqoun ka safar karne walay musafireen ki tadaad rozana senkdon mein hoti hai aur ek janib inhen apni manzil maqsood ki simt jana zarori hai to doosri janib shehar ki awam ko traffic jam ke masail se raahat dilvana mutaliqa ohdedaron ka zimma daari hai .

Traffic police ki janib se badi Buses  ke shehar mein dakhlay par pabandi hai lehaza shehar ke androon kayi ahem maqamat jaisay Afzalgunj, Mehdipatnam, Paradise, Lakdi ka pul, Panjgutta, Ameerpet aur deegar maqamat se choti gadiyon mein musafireen ko sawaar karte hue shehar ke dur jahan khangi buses thehartii hain wahan pohanchaya jata hai lekin is ke bawajood Kukatpally, Lakdi ka pul aur Attapur ring road par bhi khangi Buses  ki wajah traffic jam ke masail mojood hain, unke hal ke liye ek janib deegar shehron ki simt jane walay musafireen ko aaram da sahoolat faraham karne ke sath traffic jam ke masail bhi hal karna waqt ka taqaza hai .-YTN STAFF