Trending News

Khanah Kaaba ka naya ghilaaf intizamia ke hawalay

By News Desk Roman Urdu

July 24, 2020

Mecca: Khadim Kaaba Shareef Shah Salman Bin Abdulaziz ki niyabat karte hue Governor Mecca Mukarmah shehzada Khalid Al Faisal ne naya ghilaaf Kaaba mutwalli ke hawalay kardiya hai. Is mauqa par Harmain Sharifen intizamia ke sarbarah Dr. Shiekh Abdul Al Rehman Al Sudais bhi mojood they. Saudi Press Agency ke mutabiq ghilaaf Kaaba 9 Zil Hajj ko baad namaz Fajar tabdeel kiya jata hai jab aazmin Hajj maidan arafat mein hotay hain. Naya ghilaaf kaaba hawalay karne ki taqreeb ke mauqa par harmian Sharifin intizamia ke sarbarah Sheikh Abdul Al Rehman Al Sudais ney khadim Harmin Sharifin Shah Salman Bin Abdalaziz aur Wali Ahad Shehzada Mohammad Salman ka shukriya ada kiya.

Mecca Mukaramah ke Aamm Al Jood muhallay mein ghilaaf kaaba ki factory mojood hai. Jahan 200 se zayed hunarmand poora saal ghilaaf kaaba tayyar karte hain jo mukhtalif marahil se guzarta hai. Ghilaaf kaaba saal mein ek martaba tabdeel kiya jata hai. Mecca Mukaramah ke mausam ke lehaaz se ghilaaf kaaba ko intehai mazboot aur mayaari tareeqay se tayyar kiya jata hai. Is ke liye khalis resham ka istemaal kiya jata hai.