Mecca Mukarmah: Saudi Arab mein muqaddas Masajid ki intizamia neh khanah Kaaba ka ghilaaf neechay ki aur mamool ki islaah-o-murammat ka kaam mukammal kar liya hai. Saudi khabar-rasan idaray SPA ke mutabiq Masjid Ul Haram intizamia ke matehat islaah-o-murammat ke idaray ke Director Mohsin Al Salmi neh kaha hai ke intizamia khanah Kaaba ki islaah-o-murammat ke kaam aalmi miyaar ki mutabiq anjaam deti hai. Ye kaam jadeed tareen Technology ki madad se kiya jata hai jabkay islaah-o-murammat mein bain ul aqwami miyaar ka samaan istemaal jata hai.
Al Salmi ne mazeed kaha hai ke muqarara programme ke mutabiq khanah Kaaba ki kharji dewaron ki islaah-o-murammat ki gayi. Meyaari masalay ke zariye dewaron mein par jane wali rehfi bhari gayi hain. Idaray ke director ne kaha hai ke Shazwan mein Kaaba ke ghilaaf ko bandhnay walay sonay ke kundon par dobarah sonay ka pani chadhaya gaya hai. Har baras ki terhan is saal bhi hajj ke ayyaam mein ghilaaf Kaaba oopar uthadya gaya tha. Ab ghilaaf ko neechay laakar shazwan ke kundon mein bandh diya jaye ga.
Guzashta mah Hajj ke douran Masajid Ul Haram ki intizamia ne naye Hajj mausam par khilaaf Kaaba ka nichala hissa oopar oatha diya tha. SPA ke mutabiq Masajid Ul Haram ki intizamia ne taqreeban 3 meter tak ghilaaf Kaaba oopar kiya tha.