Trending News

Khaleeji mumalik ahteyati tadabeer par sakhti se amal karne waloun mein sare fehrist

By News Desk Roman Urdu

May 02, 2020

Dubai: Wabai marz Corona se nijaat ke liye duniya bhar mein ahteyati tadabeer ikhtiyar ki jarahi hain aur Lockdown ke douran sakht pabandiyan ayed hain lekin is ke bawajod kayi aisay mumalik aur ilaqay hain jahan awam ahteyati ko nazar andaaz kar rahay lekin baaz mumalik mein ahteyati tadabeer par sakhti se amal kar rahay hain jin mein khliji mumalik sare fehrist hain. Khliji taawun council mein shaamil mumalik Novel Coronavirus ka muqaabla Quarantine aur samaji faaslay ke zaabtay ki pabandi karkay poori qowat se kar rahay hain. Google ke jari kardah adad o shumaar ke mutabiq muashi zaroriat ki takmeel ke liye gharoun se nikalny ki azaadi ke bawajood poori duniya mein Quarantine aur samaji faaslay ki pabandi mein sare fehrist khliji mumalik hi hain. Khliji mumalik mein Saudi Arab, Mutahidda Arab Emirat, Kuwait, saltanat Oman aur Bahrain ko samaji faasla rakhnay walay mumalik mein sare fehrist shumaar kiya gaya.

Awaami maqamat par amad o raft mein kami ke hawalay se Bahrain poori duniya mein panchwin number par hai. Jahan sadkoun par naqal o harkat mein 31 feesad kami Bahrain ka number janoobi Korea , Japan , America aur Singapore ke baad hai. Google har mulk mein runuma honay wali tabdeeli se mutaliq sah mahi adad o shumaar ki tejzyati Report pesh kar raha hai. Is ke bamujab saal rawan 2020 ke ibtidayi 3 mah ke douran khliji mumalik mein tafrehi maqamat, General Store aur Shopping Centers waghera mein naqal-o-harkat mein ghair-maa’mooli kami Record ki gayi.

Bahrain mein naqal o harkat 21. 2 feesad, Kuwait mein 36.3 feesad, Saltanat Oman mein 37.8 feesad, Saudi Arab mein 38. 5? feesad aur UAE mein 42.33 feesad kami Record ki gayi. Public Transport aur Retail ke shobo mein osat kami 60 feesad se le kar 53.2 feesad Record ki gayi. Bahrain center for strategic studies ke director Dr Omar Al-Abedli ne kaha ke Corona ki waba ke insidaad ke douran sahet aur iqtisadi ahdaaf mein tawazun peda karna be hadd mushkil marhala hai. Tamam mumalik un dinoun is Challenge ka saamna kar rahay hain.

Khliji mumalik ne shuru hi mein hifazati iqdamaat karkay apne yahan ka mahol munasib banaliya. Pabandioun ke bawajood khliji mumalik ka mahol mamool ke ayen mutabiq nazar araha hai. Aalmi idaara sahet ne waba se nimatnay ke liye paishgi tadabeer ikhtiyar karne par khliji mumalik ki tareef ki. –YTN STAFF