Thiruvanthapuram : Kerala mein jari shadeed baarishoun ke paish-e-nazar tamam taleemi idaron mein chutti ka elaan kar diya gaya. yahan subah jari sarkari press release ke mutabiq college aur madrsoun sameit tamam taleemi idaray aindah hukum tak band kardiye gaye. tafseelaat ke mutabiq pehlay se tey shuda university aur board imtehanat par chhutti ka itlaq nahi hua aur yeh imtehanat pehlay se tey shuda programme ke mutabiq honge.
Riyasat ke kayi nashebi ilaqay aur sadakhein Sailab se mutasir hain. kayi muqamat par darakhton ke girnay se gadiyon ki aamad wo Raft mein bhi khalal pada hai. kerala mein mosledhar barish se jagah jagah pani bhar jane ke sabab kochi bain ul aqwami airport par khidmaat itwaar ke roz shaam 3 bajey tak band rahengi jabkay chair-thaili¸ ke qareeb partriyon par darakht gir jane se alpoza aur arankalam ke darmiyan railway khidmaat mutasir hogayi hain.
Airport ki janib se jari press release ke mutabiq musafiron ko is se mutaliq pooch gach ke liye ek emergency control room ka number dastiyab karwa diya gaya hai. Airport ka nizaam mokhar rehne tak tayyarion ke parwazoun ke rastay tabdeel kiye jayenge.
Is douran aaj subah Chairthaili¸ ke qareeb patriyon par darakht gir jane se alpoza aur arankalam ke darmiyan rail ki aamad Raft mein rakhna padhgya hai. railway ki press release mein bataya gaya ke is waqia ke baad kayi trains ko kotayem ke rastay chalaya gaya hai. Airnadu express aur shatabadi express ko katayam se guzaraa gaya hai. alpoza rastay se train khidmaat aglay 4 ghantoun ke liye rokdi gayi hain. alawa azeen Sailab mein phansay awam ko mehfooz muqamat tak rasai ke liye fouj ki khidmaat haasil karli gayeen hain jabkay hazaroun ki tadaad mein awam ko mehfooz muqamat aur campus mein muntaqil kardiya gaya hai. –YTN STAFF