India

Kejriwal ki Shaheen Bagh se doori kab tak

By News Desk Roman Urdu

February 21, 2020

New Delhi: Delhi ke Ramlila Maidan mein Arvind Kejriwal ki Chief Minister ke ohday ki halaf bardari dekh kar shayad BJP ke khaima maatam kada mein tabdeel huva hoga aur khaas tor par Amit Shah ki kefiyat is namuraad aashiq se hui hogayi jis ki mehbooba ki shadi kisi aur nowjawan se hoti ho kyon ke Amit Shah ne Delhi ka iqtidaar haasil karne ke liye ayedi chouti ka zor lagadiya tha lekin un ke aankhoun ke samne hareef Kejriwal iqtidaar ki kursi par baith gaye. Jis Kejriwal ko rokne ke liye usay dehshat gard tak qarar diya gaya, Police ka istemaal apne mafaad ke liye kiya gaya, Election Commission ko apni marzi ke mutabiq istemaal kiya gaya, Kashmir ke Article 370 se le kar Pakistan tak ko intikhabi mauzo baneya gaya. EVM ke button se Shaheen Bagh ko Current lagane ki Appeal ki gayi, Ghaddaroun ko goli maarne ke naaray lagwaye gaye yahan tak ke BJP ke shikast khane ki soorat mein Delhi waloun ke gharoun mein Shaheen Bagh ke logoun ko ghus kar un ki baho baityoun ko utha lijane aur esmatdarri karne ka khauf tak dilaya gaya lekin ye sab koshishen aur sazishain sab dhari ki dhari reh gayi. Wahi Kejriwal teesri martaba Delhi ke Chief Minister ki kursi sambhaali hai to zahir hai ke usay rokne waloun ke yahan maatami kefiyat hogi hi.

Delhi intikhabaat mein BJP ki shekasht ke baad Amit Shah ne aitraaf kiya ke Pakistan, Kashmir Shaheen Bagh jaisay mozuaat ki wajah se un ki party ko shikast huvi hai. Is mein kis hadd tak sachaai hai is ka tajzia to baday baday intikhabi mahireen hi karen ge, Lekin ye zaroor sach hai ke is intikhab ko jeetne ke liye BJP ne apni poori taaqat jhonk di thi. Delhi ek mukammal riyasat nahi balkay nisf riyasat hai. Kyunkay is ka nisf ikhtiyar markazi hukoomat ke paas hai. Apne paas nisf iqtidaar rakhtay hue baqi nisf iqtidaar ko jeetne ke liye BJP ne har wo jatan ki jo kisi badi se badi riyasat ko jeetne ke liye kiya ja sakta hai. Doulat, Taaqat, Saazish, Firqa parasti ka aisa koi pehlu nahi tha, Jo istemaal na kiya gaya ho.

Sab se pehlay to Amit Shah ne is intikhabi muhim ko amlan apne hathoun mein le liya tha. Unhoun ne tanha 66 reliyan kee, Pooray mulk se 200 se zayed apni party ke membranِ Parliament ow markazi wazray ku Delhi ki gali kochoun mein tainaat kiya. 8 reyastoun ke Chief Minister ko Delhi talabb karkay un se reliyan karwaen gayi. Uttar Pradesh ke Chief Minister Yogi ne 4 dinoun tak Delhi mein deera daaley rahay aur Kejriwal par Shaheen Bagh mein Beryani khilane ka shoshah choda. Un sab ke bawajood agar Delhi mein BJP haar gayi to ye koi mamooli haar nahi balkay ye ek aisi haar hai jis ki goonj Bihar o Bengal tak sunai degi.

Ye baat tasleem ki jati hai ke ab BJP mehez 2 logoun mein simat chuki hai. Ek Modi aur dosray Amit Shah . Pehlay ye dhai logoun ki party thi lekin Jaitley ke duniya se jaane ke baad ab ye mehez 2 logoun ki party ban gayi. Is mein pehlay number ka haal ye hai ke jab is ne ye mehsoos kiya ke is ke turkish ke tamam teer zaya ho rahay hain aur Delhi mein kamyabi ka imkaan nah ke barabar hai to is ne apni 2 rally ke baad hi khamoshi ikhtiyar karli lekin dosray number ke sahib ko apni kamyabi ka bohat ziyada gumaan tha. Voting ke baad un ki party ke Delhi ke sarbarah ne to yahan tak daawa kardiya tha ke wo 48 seats jeet rahay hain. Khud BJP ke androon khanah ye baat daaway ke sath kahi jarahi thi ke is baar 45 ke paar pounchane walay hain. Un sab daoun ke bawajood agar poori party 8 tak simat jaye to ye is zeam ki haar ke sath is chankih ki bhi haar hai jis ke barey mein Ram Madhu ne Karnataka mein hukoomat saazi ki koshisho ke douran kaha tha ke mere paas Amit Shah hai, Is liye agar ye kaha jaye to ghalat nah hoga ke Delhi mein BJP ki shikast se sab se ziyada nuqsaan Amit Shah ka huva hai kyunkay un ki chankih hone ki jo shabeeh guzashta 6 saal se BJP tayyar karne mein lagi hui thi, Wo ab khatam hogayi.

Ab jabkay Arvind Kejriwal teesri martaba Chief Minister ban chuke hain, To inhen sab se pehlay BJP o deegar partiyon ke zariye qayem kiye gaye is tasawwur ko todne ki koshish karni chahiye ke agar koi party ya leader musalmanoun ke sath khadi ho jaye to wo Hindu awam se toot jata hai. Isi tasawwur ke tehat Election ke ayyaam mein Arvind Kejriwal Shaheen Bagh nahi gayi aur wahi nahi balkay BJP Congress ka bhi koi leader nahi gaya. BJP walay baar baar Arvind Kejriwal ko Shaheen Bagh jaaney ke liye lalkartay rahay lekin wo khud bhi nahi gaye. Kejriwal ka is ke baarey mein ye jawab tha ke chunkay Shaheen Bagh ka ehtijaj markazi hukoomat ke baneye hue qawaneen ke khilaaf hai, Is liye markazi hukoomat ke kisi zimma daar ko wahan jana chahiye lekin Shaheen Bagh hi nahi balkay poori Delhi ke awam ye achi terhan samajh rahay they ke BJP ya Aam Aadmi Party ka koi leader Shaheen Bagh kyun nahi ja raha hai. Is ki wazeh wajah ye tasawwur hai ke jo bhi leader ya party musalmanoun ke sath khadi hogi wo Hindoun se daur hojaye gi. Kejriwal ka daawa hai ke un ki siyasat mulk mein qaim kiye gaye siyasi mufrozoun se agay ki siyasat karti hai to inhen ab Shaheen Bagh jaakar is mafroozay ko todne ki koshish karni chahiye.

Ye is liye bhi ke siyasi partiyoun ke zariye baneya gaya mazkoorah baala mafrooza darasal is mulk ke aksriti tabqay ki raast tauheen hai. Is se ye saabit hota hai ke mulk ke Hindu is qader adam tahhaamul ke shikaar hain ke wo deegar mazahab ke maan-ne waloun ke sath khaday hone waloun ko bardasht nahi karen ge aur wo hamdardi ke jazbay se bilkul khaali hain. Is mafroozay se mulk ke ittehaad o yakjahti ka jis qader nuqsaan ho raha hai, Isi qader ye mafrooza apni jadain mazboot karta ja raha hai. –YTN STAFF