Hyderabad

KCR ne Telangana ki awam ko di naye saal ki mubarakbaad, Kaha, Riyasat ko khawandah bananay ka ehad karen

By News Desk Roman Urdu

December 31, 2019

Hyderabad: Wazeer aala K Chandrashekhar Rao ne mangal ke roz riyasat Telangana ke awam ko naya saal 2020 ki Mubarak baad di. Wazeer aala ne kaha ke riyasat ki tashkeel ke 6 salub ke andar, Riyasat Telangana kayi mamlaat mein mulk mein pehlay maqam par rahi aur ye riyasat mein sab ke liye qabil fakhar hai.

Wazeer aala ne umeed zahir ki ke riyasat Telangana naye saal mein mazeed taraqqi keregi aur agay badhay gi. Unhoun ne logoun se mutalba kiya ke wo riyasat ko mukammal khawandeh bananay ke liye naye saal ke douran ehad karen. wo chahtay hain ke har padha likha shakhs, Un padh aur na khwanidah afraad ko taleem de.

Unhoun ne kaha ke wo riyasat jo bijli ke bohraan ki wajah se tareqi mein dobi hui thi, Wo bijli ki Surplus ban gayi hai. Mustakbil mein riyasat Telangana bijli ke shobay mein ziyada taraqqi keregi aur record banayegi. KCR ne kaha ke ”Mission Bhagiratha ka samar logoun tak poanch raha hai.

Riyasat Telangana mulk mein pehli riyasat ban gayi hai, Jis ne peenay ke pani ke maslay ko hamesha ke liye hal kar diya hai. Deegar reyasatain Mission Bhagiratha ke qisam ke progaramoun ko nafiz karne ki khwaahan hain. Riyasat aab-paashi ke shobay mein chamathkar kar rahi hai. Duniya mein Engineering ka chamathkar samjhay jany walay Kaleswaram  mansoobay par kaam horaha hai, Jis ne duniya ko heran kar diya hai.

Aglay June tak, Hamein Kaleswaram project ke sad feesad nataij haasil honge. Riyasat zar khaiz hogi, Aur riyasat Telangana ki sar mein se mustakil tor par qeht ka khtama hoga. Jahan tak falahi mansooboun ke nifaz ka talluq hai, Telangana pehlay number ki riyasat ban gayi hai“. Wazeer aala ne kaha ke ”ham IT aur sanat ke shobo mein bhi agay badh rahay hain.

Wazeer aala ne kaha ”riyast Telangana par ek daagh hai ke, Mulk mein bohat saaray shobo mein mashhoor honay ke bawajood riyasat khawandgi ki sharah ke muamlay mein pasmandah hai. Ye sorat e haal pichlle hukmraanoun ki nakami ki wajah se hai, Jo tamam ko taleem muhayya karanay mein nakaam rahay hain. Riyasat Telangana ki awam ko is par ghhor karna chahiye.

Chandrashekhar  Rao ne mazeed kaha ke ”ham sab ko naye saal ke mauqa par riyasat ko mukammal khwandah bananay ka azm karna chahiye. Har padha, Likha shakhs nakhawanda ko taleem dena chahiye. Unhoun ne kaha ke hukumat jald hi riyasat mein mukammal khawandgi ke liye ek Action Plan shuru keregi. –YTN STAFF