Latest News

KCR ke khawboun ki tamirat assembly aur Secretariat muashi bohran ki zad mein

By News Desk Roman Urdu

September 11, 2019

Hyderabad: Hindustan mein muashi bohraan ke batadreej taaqatwar honay ke kayi ek misalein samnay aa rahi hain yahi wajah hia ke riyasat Telangana mein sarkari aur khangi umoor par bhi is ka asar padh raha hai aur ab to riyasat-e-Telangana ke chief minister KCR ke khwaboun ki taamer assembly aur Secretariat ki nai imaarton par bhi muashi bohraan ke siyah baadal chaane lagey hain aur aisa lagta hai ke shayad yeh project  barf daan ki Nazar hojaienge.

Assembly mein paish kardah reyasti budget 2019-20 ke baad yeh sawalaat uthaye jarahay hain ke Hindustan mein badhtay muashi bohraan ka Telangana ke naye Secretariat aur assembly ki tamirat par bhi assar ho raha hai assembly mein paish kardah budget ke douran kaha gaya hai ke Secretariat ki nai imarat ki taamer ke liye ek crore rupay ka budget mukhtas kiya gaya hai halaanke is imarat ki taamer ke liye 500 crore rupay ka budget darkaar hai.

Iske alawa budget taqarrur ke douran chief minister KCR ne kaha hai ke reyasti tamam wazra ko hidaayat di gayi hai ke woh apne mehakma aur shoba jaat mein pehlay tamam mojooda umoor aur projects ki takmeel par tavajja markooz karen aur jab tak mojuooda bills mukammal nahi ho jatay tab tak koi naya kaam shuru na karen. unhon ne mazeed kaha ke awam ko halaat se waaqif karwane ke liye koi kaam darparda na kiya jaye.

Ek janib Secretariat ki nai imarat ke liye jahan 500 crore rupay ka budget Manzoor kiya jana tha is mein sirf ek crore rupay hi Manzoor kiye gaye hain aur iske bar-aks 600 crore rupay ke masarif se tayyar ki janey wali assembly ke liye ek rupiya bhi mukhtas nahi kiya gaya hai. alawa azeen is waqt sirf Secretariat ki mojooda imarat ke inhedam ka faisla kiya gaya hai jabkay nai imarat ki taamer ka faisla baad mein liya jayega. –YTN STAFF