Srinagar : Waadi Kashmir mein jummay ke din bhi jahan ghair elania hadhtaloun ka silsila jari raha jis ke baais musalsal 89 wein din bhi maloomat zindagi mutasir rahay.
Shehar ke mukhtalif hisson mein jummay ko logon ki azadana naqal vo harkat par pabandiyan aed rahen jis ki wajah se jahan Nohta mein waqay tareekhi Jama masjid ke Membar wo mehrab lagataar 13 wein haftay bhi khamosh rahay wahein hazrat Baha uddin naqshbandi sahib ke salana Uras ke silsilay mein khanqah Naqshbandia sahib mein salana wo tareekhi khojah degar namaz-e-asar ka ijtima munaqqid nahi hosaka.
Yaad rahay ke markazi hukoomat ke muslim aksriti jammu Kashmir ke khusoosi darjay ko khatam karne aur usay do union territories mein taqseem karne ke faislon ke khilaaf waadi mein qareeb 3 mah se ghair elania hadhtaloun ka silsila jari hai. mossola atlaat ke mutabiq waadi ke atraaf wo aknaf mein jummay ke roz bhi hadhtaal ki wajah se maloomat zindagi mutasir rahay, bazaar band rahay, tijarti sargarmia mo-attal rahen aur sadkon par public transport ki naqal vo hamal mutasir rahi taham khangi gadiyon ki naqal hamal jari rahi.
Srinagar ke baaz hisson bilkhushoos cvivl lines aur balai shehar mein jummay ki Ali al subah teen din baad dukanein khuli gayeen aur 11 bajey tak khuli rahen jis douran logon ne zaroorat ki cheeze khareedain. isi tarha azlaa mein bhi dukanain shaam ke waqt do se teen ghanton tak khuli rahen. srinagar ke civil lines mein jummay ko 3 din baad chapdi farosh zaroorat ki cheeze bilkhushoos garam malbosaat farokht karte hue nazar aaye.
Taham public transport ki Adam moujoodgi ki wajah se bohat kam gahak kharidari mein masroof dekhe gaye. –YTN STAFF