India

Kashmir mein media dafatir par dasti press note ka rujhan dobarah zindah

By News Desk Roman Urdu

December 12, 2019

Srinagar : Waadi-e-Kashmir mein guzishta zayed az char mah se internet khidmaat par jari pabandi ke baais jahan ek taraf kayi umoor hayaat fil-waqt madfan hue hain wahein news agencies aur akhbaari daftaroun par dasti press note aaney ka rujhan dobarah zindah hua hai.

Waadi mein guzashta zayed az chaar mah se tamam tarhan ki internet khidmaat musalsal mo-attal hain jiske baais mukhtalif shoba haae hayaat se wabsta logon bilkhushoos sahafion, talba aur taajiron ko shadeed masail darpesh hain.

Waadi mein internet ki musalsal muatali ki wajah se akhbaroun mein press note wo deegar ishtiharaat shaya karwane ke liye logon bilkhushoos qaumi dhaaray wali siyasi jamaaton jaisay national conference, congress aur CPIM ko akhbaari daftron ya news agencio ke dafatir par apne press note ya ishteharat dasti bhejnay padte hain jabkay internet ki dastyab honay ke daur mein yeh kaam E-mail ke zariye hi anjaam diya jata tha.

Waadi ke ek urdu akhbar ke daftar mein kaam karne walay ek mulazim neh kaha ke internet ki musalsal muatali ke baais qaumi dhaaray wali siyasi jamaaton ke numainde ab akhbaari bayan jamaat ke letter pad par ya pen drive mein laatay hain.

Unhon ne kaha internet ki musalsal muatali ki wajah se ab badi jamaaton ke numainday bazat khud akhbar ke daftron mein bayanaat laatay hain jo letter pad ya pen drive mein hotay hain, qabal azeen yeh log email karkay yeh kaam anjaam dete they.

alawa azeen yeh rujhan dobarah zindah honay se ek faida ye hua hai ke un logon ki rubaroo mulaqaat horahee hai jinke sath sirf phone par hi alik slik hua karti thi.

Unhon ne kaha ke hurriyaat conference ke dono dharhon ki taraf se bhi akhbaron ke naam chaar mah ki taweel takheer ke baad aana shuru hue hain to woh bhi dasti press note hi bhaijtay hain.

Waadi ki ek badi siyasi jamaat ke publicity shobay mein kaam karne walay ek mulazim neh kaha ke akhbaari daftron ya news agencio ke daftron mein press note dasti le jana to amar mushkil hi hai lekin is se akhbar walon ki mulaqaat to naseeb hoti hai.

Unhon ne kaha hum press note ya koi dosra bayan mil karkay akhbar walon ya news agencio ko bheja karte they lekin jab se internet band hai tab se press note haath mein liye akhbar ya news agency ke daftar mein haazir hona padta hai jis se kam se kam wahan puranay doston ke sath mulaqaat hoti hai.

Zaraye ne kaha hai ke waadi mein hukoomat ke apne ishtihari idaron jaisay PIB mein internet moattal hai aur inhen bhi kaam ki anjaam dahi ke liye mehakma it-tila-aat wo taluqaat aama mein qaim media center ka hi rukh karna padta hai.

Unhon ne kaha ke agarchay doordarshan aur all India radio mein internet sahuliyaat bahaal ki gayi hain taham wahan yeh sahuliyaat makhsoos afraad tak hi mehdood hain. Qabil-e-zikar hai ke waadi mein sahafion ka kaam kaaj mehakma it-tila-aat wo taluqaat aama ke ek chootey kamray mein qaim media center par munhasir hai.

Srinagar nasheen tamam sahafi subah shaam isi kamray mein jama hokar apna pesha warana kaam anjaam dete hain haal hi mein khawateen sahafion ke liye alahada kamrah makhsoos rakha gaya hai. –YTN STAFF