India

Kashmir mein Internet par pabandi, Hukoomat ke khilaaf Supreme Court ki hidaayat

By News Desk Roman Urdu

January 10, 2020

New Delhi: Supreme Court ne aaj Internet tak rasai ko aeen ke Article 19 ke tehat bunyadi haq qarar dete hue Jammu o Kashmir intizamia ko is markaz ke zair-e intizam riyasat mein aed pabandioun ka ek haftay ke andar jaiza lainay ke ehkamaat sadir kiye. Justice N.V Ramana, Justice Subhash Reddy aur Justice B R Gavai ki bench ne jammu o Kashmir ki khusoosi hesiyat se mutaliq Article 370 ki ziyada tar shِaqoun aur Article 35 ae ko mansookh kiye jane ke baad Internet khidmaat ki muatali par fori tor par jaiza lainay ke ehkamaat sadir kiye.

Bench ki janib se Justice Ramana ne Kashmir times ki editor Anuradha Bhasin aur Congress leader Ghulam Nabi Azad ki arzeoun par faisla sunaate hue Jammu o Kashmir mein aed ki gayi deegar tamam pabandioun ke ek haftay ke andar jaiza lainay ke ehkamaat sadir kiye. Adalat ne sarkari aur muqami baldeati idaroun ki un websites ko bahaal karne ki hidaayat jari ki jahan Internet ke ghalat istemaal ka khadsha kam hai.

Adalat ne apne ehkamaat mein dawakhanou aur taleemi idaroun sameit zurori khidmaat faraham karne walay tamam idaroun ki Internet khidmaat bahaal karne ki hidaayat di. Bench ne apne ehkamaat mein kaha ke Internet par ghair muayana muddat tak pabandi aed karna tele communication zabton ki bhi khilaaf warzi hai. Unhoun ne Internet ki dasteyabi ko izhaar raye ki azaadi ka ek zareya qarar dete hue kaha ke is par taweel arsay tak pabandi nahi lagai ja sakti.

Adalat ne markazi ke zair e intizam ilaqa ki intizamia se kaha ke wo un tamam ehkamaat ko manzar aam par laaye, Jin ke tehat Criminal procedure Court ( CRPC ) ki dafaa 144 nafiz gayi thi, Taakay loog is ke khilaaf adalat ja saken. Supreme Court ne kaha ke Internet khidmaat ki ghair muayana muddat tak muatali na qabil qubool hai. CRPC ki dafaa 144 ke tehat baar baar ehkamaat jari karne se Iqtidaar ka ghalat istemaal hoga.

Adalat ne ye bhi kaha ke hukoomat ko pabandioun ke tamam ehkamaat ko shaya karna chahiye aur kam pabandioun ke iqdamaat ko apnane ke liye kiye gaye tanasub ke usoolon par amal karna chahiye. Adalat ne kaha ke pabandioun ke ehkamaat ke peechay ke siyasi pehlu se koi talluq nahi hai. Is ki mehdood fekar security aur awam ki azaadi ke silsilay mein ek tawazun talaash karna hai.

Justice Ramana ne kaha hum sirf ye yaqeen bananay ke liye yahan hain ke shehrioun ko un ke haqooq faraham kiye jayen. Kashmir mein bohat tashadud huva hai. Hum security ke masla ke sath insani haqooq aur azadi mein tawazun paida karnay ki poori koshish karen ge. Ghair muayana muddat ke liye Internet ki muatali manzoor nahi hai. Ye sirf ek munasib muddat ke liye ho sakta hai aur waqt waqt par is ka jaiza liya jana chahiye. Adalat ne guzashta 27 November ko mutaliqa darkhwastoun par faisla mehfooz karliya tha. –YTN STAFF