India

Kashmir mein abhi tak prepaid mobile khidmaat dobarah shuru honay ke koi aasar nahi

By News Desk Roman Urdu

October 28, 2019

Srinagar : Kashmir mein post paid cal ki bahaali ke kayi dinon ke baad, abhi tak prepaid mobile connection dobarah shuru honay ke koi aasaar nazar nahi arhay hain., kyunkay peer ke roz musalsal 85 roz waadi mein mamool ki zindagi mutasir rahi. ittila ke mutabiq, Kashmir mein taqreeban 25 laakh mobile phone sarfeen hain.

School ki ek teacher Asiya Firdous ne poocha ke agar yeh post paid mobile services ki bahaali mein koi pareshani nahi hai, to prepaid service se security ko kis tarhan khatrah la-haq hai? yeh to imtiazi sulook hai “ .

Wazeh ho ke 5 august ko markazi hukoomat ki janib se Kashmir ko khusoosi haesiyat dene walay aaen ke article 370 ko mansookh karne ke ek din qabal waadi mein mawaslati khidmaat ko band kar diya gaya tha. phir Article ko mansookh kiye janey ke kuch dinoun baad land lines ko khola gaya tha, is ke 2 mah baad hi SMS ki sahoolat ke baghair post paid mobile khidmaat ko mutharrak kiya gaya tha. aur yeh kaha gaya tha ke jald hi prepaid khidmaat ko bahaal kiya jayega. magar abhi tak is ke koi aasaar nazar nahi aarahey hain.

Prepaid sarfeen ko umeed hai ke unka taweel intezar jald hi khatam hojayega. logon ka khayaal hai ke mobile muwasilat aur internet ki sahuliyaat par mukammal pabandiyan khatam karne se sorat-e-haal ko mamool par laane mein madad mileygi. –YTN STAFF