India

Kashmir mein 70 Dinon baad Mobile khidmaat Dobarah bahaal, Awaam ko mili raahat

By News Desk Roman Urdu

October 14, 2019

Srinagar : Jammu & Kashmir mein paanch August ko riyasat ko khusoosi haisiyat dainay walay Aaeen ke Article 370 ko mansookh kiye janey ke douran moattal ki gayeen mobile khidmaat, waadi Kashmir mein peer ko tamam net works par 70 dinon ke Baad phir se post Paid khidmaat bahaal kar di gayeen. Doo din qabal hi jammu & Kashmir ke principal Secretary ney is ka Elaan kyia tha.

taham. ab pri paid mobile phone holderz Ko intezar karna padega. Riyasat mein tamam net works sameit 40 laakh post paid sarfeen hain, jabkay 23 laakh pri paid sarfeen hain. is ke Alawa internet ki muattali jari hai .

Riyasat mein mobile Aur internet khidmaat moattal karne se mutaliq hukoomat ka khayaal tha mobile phone ke zareya ghalat afwahen phileingi Aur internet ka dehshat gard ghalat istemaal kar satke hain .

Mobile phone khidmaat ki bahaali ke baad awam raahat mehsoos kar rahay hain. is talluq se aik aala ohdedar ney bataya ke ”Chunke waadi mein mobile phone ney dobarah kaam karna shuru kar diya hai, lehaza hum umeed karte hain ke walidain, pesha war afraad aur karobari biradri ke khadshaat daur kiye jayengey.

Ohdedaar ney kaha ke ”Ummid hai ke mobile phone dobarah shuru honay ke baad walidain ko apne bachchoun ko schooloun aur collegeoun aur univercitiyon mein bhejna aasaan ho jayega. sath hi hamein umeed hai ke phone ke raabtey se waadi mein transport operators ke masail bhi door ho jayenge .

waadi mein peer ko mobile phone ki khidmaat bahaal ho nay ke baad aksar maqamat jaisay, sadkoun, baazaaroun, dafatir aur bankoon ke andar logoun ko mobile phone ka istemaal karte aur –apne azeezon se baat cheet karte hue dekha gaya .