New Delhi: Moujuda tanaza Kashmir ke liye congress party ko mukammal tor par zimmedaar qarar dete hue, wazeer-e-dakhla Amit Shah ne itwaar ke roz Narendra Modi hukoomat ke jammu wo Kashmir khusoosi darjaa daine walay aaen ke Article 370 ko mansookh karne ke iqdaam par sawal karne par naqideen ko tanqeed ka nishana banaya.
Mulk ke pehlay wazeer-e-aazam Jawaharlal nehru ko is bohraan ka zimmedar qarar dete hue Shah ne kaha ke ” Kashmir ke liye aqwam-e-mutahidda mein jana ek ghalti hai. aur ghalat tasheer ki wajah se Article 370 kayi saloun tak chalta raha. unhon ne kaha ke masla Kashmir ke liye aqwam-e-mutahidda mein jana pehli ghalti thi. aur doosri baat, charter ka intikhab ghalat tha. charter 35 ko muntakhib karne ke bajaye hukoomat ko charter 51 ka intikhab karna chahiye tha. Amit Shah yahan Vishwa Samvad Kendra may munaqidah ek taqreeb se khitaab kar rahay they.
Unhon ne kaha ke ”charter 35 ne usay do mumalik ke mabain tanaza bana diya. unhon ne ilzaam lagaya ke sachaai ko chupaney ke liye Kashmir ki tareekh likhi gayi. iski wajah yeh hai ke tareekh likhne walay hi Kashmir mein pareshaniyon ka baais bane they. Amit Shah ne mazeed kaha ke ”kashmir Hindustan ka atot hissa tha, hai aur rahega.
Amit Shah ne congress ko Kashmir mein apni hukmarani ke tehat hone walay mobayyana muzalim ki yaad diladi. unhon ne kaha ke aaj tak, Kashmir mein dehshat gardi ke nateejay mein kam az kam 41,800 afraad halaak ho chuke hain. unhon ne kaha ke Article 370 ke khatmay se riyasat ke kashmirion ko koi nuqsaan nahi pohanchega.
Mulk ke pehlay wazeer-e-aazam Jawaharlal nehru par tanqeed kar te hue Amit Shah ne kaha ”jab hindustani musallah afwaj aazadi ke douran Pakistani fouj aur dehshat gardon ko shikast dene ki raah par they, Nehru ne ladai band kardi. iski wajah se Jammu wo Kashmir ka ek bada hissa Pakistan ke qabzay mein chala gaya. ab usay PoK kaha jata hai. –YTN STAFF