New Delhi : Opposition rehnumao ke wafad ko Srinagar mein daakhil honay ki ijazat nah dainay aur inhen Dehli wapas bhejnay ke baad, congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne Chaharshambe ko hukoomat ke is muaqqaf ki himayat ki ke Kashmir Hindustan ka dakhli masla hai, is mein Pakistan ko mudakhlat karne ki zaroorat nahi hai.
Congress rehnuma Rahul Gandhi jo is waqt kerala ke apne palimony halqa Wayanad mein hain, unhon ne tweet mein kaha ke mai bohat se umoor par is hukoomat se mutfiq nahi hon, lekin mein yeh baat wazeh kar dena chahta honke Kashmir Hindustan ka dakhli masla hai aur Pakistan ya kisi aur bairooni mulk ke liye is mein mudakhlat karne ki koyi gunjaish nahi hai .
Unhoun ne mazeed kaha jammu wo Kashmir mein tashadud ho raha hai. kyunkay Pakistan iski himayat kar raha hai. jo duniya bhar mein dehshat gardi ka sab se badey haami ke tor par jana jata hai. Rahul Gandhi ka yeh bayan Pakistan ke wazeer-e-aazam Imran Khan aur unke mutadid wazraa ki janib se jammu wo Kashmir se mutaliq article 370 ko mansookh karne aur riyasat ko do markazi zair-e-intizam ilaqon mein taqseem karne par hungama aarai ke baad samnay aaya hai.
Rahul Gandhi ke is bayan ke baad congress ke senior leader shashi tharoor ne bhi tweet karte hue kaha ke Kashmir Hindustan, aur party ka atoot hissa hai. –YTN STAFF