Jurm

Karntaka ke congress leader DK Shivakumar Money laundering case mein giraftar

By News Desk Roman Urdu

September 04, 2019

New Delhi : Enforcement Directorate ( ED) ne mangal ko Karntaka ke sabiq wazeer aur congress ke senior leader DK Shivakumar ko money laundering ke maamla mein giraftar kar liya. ED ke aik senior ohdedar ke mutabiq DK Shivakumar ko chowthi baar pooch tach ke baad girftar kiya gaya hai.Shivakumar ko jummey ke roz city court mein pesh kiya jayega.

Wazeh ho ke mehakma income tax neh 2 august  2017  ko Delhi mein DK Shivakumar ki rehaish gaah par aur deegar 60 maqamat par chaapay maaray gaye they. is douran qareeb 11 crore rupaye naqad wusool hue aur crores ke asason ka pata laga. is ke baad ED neh DK Shivakumar ke khilaaf money laundering ka muqadma bhi darj kia tha. aakhir-kaar mangal ko girftar karlia gaya.

DK Shivakumar ki giraftari par congress ney markazi  hukoomat par sakht hamla kiya aur ilzaam lagaya ke hukoomat ki nakamiyoo muashi hungami sorat-e-haal“ ko chupaney ki koshish ke tehat yeh karwai ki gayi hai.

Congress ke tarjuman Randeep surjewala ney kaha ke Shivakumar be gunah aur be qasoor hain aur party awam aur adalat ke samnay is ka saboot paish karegi. unhon ney yeh bhi kaha ke Shivakumar ke khilaaf intiqam ke jazbay ke tehat karwai ki ja rahi hai. –YTN STAFF