India

Karnataka Ke Wazeer-e-Aala BS Yedurappa Ne Assembly Mein, Etemad Ka Vote Haasil Kar Liya

By News Desk Roman Urdu

July 29, 2019

Bangalore : Karnataka ke wazeer-e-aala BS Yedurappa ne peer ko assembly mein Etemad ka vote haasil kar liya. Yedurappa ke Etemad ka vote ki tajweez ko paish karne ke baad assembly speaker, KR Ramesh ne Etemad ka vote sooti voton se paas honay ka elaan kiya.

Riyasati governor Vajubhai Vala ne BS Yedurappa ko jummay ke roz wazeer-e-aala ke ohday ka halaf dilanay ke baad Etemad ka vote haasil karne ke liye ek hafta ka waqt diya tha. wazeer-e-aala ne aaj Etemad ke vote ki tajweez rakhnay ki baat kahi, kyunkay reyasti hukoomat ke mulazmeen ki tankhowa taye karne ke liye 31 July se pehlay ahem maliyati bill paas kiya jana hai.

Assembly Speaker Ramesh ki janib se congress aur janta dal (JDS ) ke 17 baaghi arkaan-e-assembly ko na ahal qarar diye janay ke baad ewaan ke 224 arakeen ki tadaad ghat kar 207 reh gayi thi, aur BJP ko aksariyat saabit karne ke liye 105 arakeen ki zaroorat thi. jisay aasani se haasil kar liya gaya. aur Yedurappa ne assembly mein aksariyat saabit kar di.

Is mauqa par Yedurappa ne kaha ke ”jab HD kumarswamy wazeer-e-aala they, reyasti intezamia nakaam raha, aur hum usay theek kar denge.  aur kaha ke mein yaqeen dilaata hon ke hum bhi badla ki siyasat nahi karenge. mein bhool jao aur maaf karo, par yaqeen rakhta hon. –YTN STAFF