Mangalore : Cafe Coffee day ( CCD ) ke baani VG sidharth, jo peer ki raat se laapata they. unki laash 36 ghantoun ki talashi muhim ke baad chahrshambe ko Netravati nadi mein Baraamad ki gayi. woh 60 saal ke they.
Mangalore ke police commissionaire sandip paatil ney media numaindon ko bataya ke ”do machli pakadne waloun ne chahrshambe ki subah laash ko darya mein behta hua dekha. iske baad laash ko darya se bahar nikaalte ke baad Wenlock hospital bhej diya gaya, aur Sidharth ke ahle-e-khanah ko is ki ittila di gayi.
Cafe Coffee day ke maalik ke driver ke bayan ke baad unke darya mein kood kar khud kashi karne ka khadsha zahir kiya ja raha tha. coastguard ki team aur deegar agencies ke 200 se ziyada ahelkaar mangal ki subah se Sidharth ki talaash kar rahay they. police ke mutabiq coastguard force, behria, ghouta Khor , national disaster force aur air force ke Heliccopter ko Sidharth ki talaash mein laga diya gaya tha.
Sidharth ki laash ko post mortem ke baad iske ahal-e-khanah ko saump diya jayega. aur unki aakhri rasomaat ke liye Chikkamgaluru le jaya jayega.
Sidharth ki shanakht iske dayen haath ki ungli par sonay ki angothi, baen haath par ek digital ghadi aur pehnay hue jooton se ki gayi. nangay badan aur sirf pent pahani hui haalat mein mili Sidharth ki laash.
Nadi mein 36 ghantoun ki talashi muhim, guzashta do raton se jari thi. jis ke baad Cafe Coffee day ke maalik ki laash mili. apne lapatah honay se do din khabal sidharth ney apne mulazmeen ke liye ek note choda. jis se pata chala ke woh bohat ziyada qarzz mein mubtala the.
Sidharth ki laash ko chikkamgaluru mein awam ke deedar ke liye rakha jaye ga aur aakhri rasomaat zila kaafi mein waqay Sidharth ke aabadi gaon mein ada ki jayen gi. –YTN STAFF