India

Kanpur mein tashadud ke ilzaam mein 21,500 afraad afraad par muqadma darj

By News Desk Roman Urdu

December 24, 2019

Kanpur: Uttar Pradesh police ne haftay ke aakhir mein shehar mein shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj ke douran bhadkey tashadud ke baad Kanpur ke mukhtalif police stations mein darj 15 FIR mein 21,500 logoun par muqadma darj kiya gaya hai. Kanpur ke senior Superintendent ( AAP ), Anant Deo  ne kaha”, muktalif shehroun mein 21,500 afraad ke khilaaf kam az kam 15 FIR darj ki ja chuki heen aur ab tak 13 afraad ko giraftar kiya ja chuka hai. Beconganj police ne 20 afraad ko hirasat mein liya hai, Jabkay ek ko Bilhaur mein rakha gaya tha“.

FIR mein darj tafseelaat ke mutabiq, Taqreeban tamam mulzimaan namaloom they. kam az kam 5000 afraad par Babupurwa  police ne muqadma darj kiya tha, Jabkay  Yateemganj. mein 4000 se ziyada afraad ke khilaaf muqadmaat darj kiye gaye they. Taham, mangal ke roz musalsal paanjwe din internet khidmaat moattal rahen. Shehar mein ek becheeni khatam hui mawar koi taaza waqeat samnay nahi aeye they.

District Magistrate Vijay Vishwas Pant  ne kaha ”Zurete haal mamool par aarahi hai aur peer ko bazaar khul gaye hain. Hum is sorat e haal ki nigrani kar rahay hain, Jis ke baad hum internet khidmaat ki bahaali ke baarey mein faisla karen ge“. Police ke mutabiq, Itwaar ke roz kotwali police ne ek hazaar ke qareeb afraad ke khilaaf muqadma darj kiya tha, Jabkay Pheelkhana police ne 5,000 na maloom afraad ke khilaaf tashadud aur mamnoah ehkamaat ki khilaaf warzi par muqadma darj kiya tha.

Colonelganj mein 2,000, Chakeri  mein 350, aur Gwaltoli mein 102 logoun ke khilaaf tashadud mein mulawis honay ke ilzaam mein muqadma darj kiya gaya hai, Un mein se beshtar gumnaam loog hain. Police ne bataya ke tashadud mein mulawis mulzimaan ki shanakht aur giraftari ke liye koshishin jari hain. Shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke khilaaf muzaheroun ke douran, Babupurwa ke teen afraad ne gun pointe par khud koshi ki aur muzahireen ne Babupurwa aur yateem khanah ke ilaaqoun mein mutadid gadiyoun ko nazar aatish kar diya. –YTN STAFF