Lucknow : Uttar pradesh ke dar-ul-hukoomat Lucknow mein hindu samaaj party ke rehnuma 43 sala kamlesh tiwari ke qatal mein mulawis 2 afraad ke baarey mein ittila dene walon ko lakhoun rupiyon ka inaam diya jaye ga. yeh elaan uttar pradesh police ke DGP ne kiya hai. unhon ne kaha ke ek ke baaray mein ittila dene par 2.50 laakh rupiye aur dono ke baaray mein ittila dene par 5 laakh rupiye ka naqad inaam diya jayega. ittila ke mutabiq un dono ki shanakht hogayi hai aur woh surat ke rehne walay hain, jahan se pehlay hi teen afraad ko giraftar kiya ja chuka hai. magar police ne un dono ke naam zahir nahi kiye hain.
Bata dein ke un dono qatilon ko Lucknow mein CCTV mein dekha gaya hai, lekin ab tak unka koi suraagh nahi mil saka hai. isi douran Lucknow police ne peer ko surat se pakdae gaye 3 afraad ko adalat mein pesh kiya. un logon par kamlesh tiwari ke qatal ki saazish karne ka ilzaam hai. police ke mutabiq, mafroor dono mulzimon ne unhi ki madad se waqeye ko anjaam diya hai.
Is douran 3 din ke andar police afsaraan ke teen mukhtalif bayanaat aaye hain. Lucknow ke pehlay SSP ne kaha ke ye maamla bahami dushmani ka lagta hai. iske baad, reyasti DGP, ne kaha ke kamlesh ke 2015 mein diye gaye bayan ki wajah se mara gaya hai. unhon ne un mulzimon ke kisi dehshat gard group se talluq rakhnay se inkaar kiya tha. Aur ab unhon ne mulzimoun ko kisi group se talluq rakhnay ke imkaan se inkar nahi kiya.
Wazeh ho ke hindu samaaj party ke sadar kamlesh tiwari ko jummay ke din dar-ul-hukoomat Lucknow ke Khurshid baagh ilaqay mein unki rahaish gaah par 2 namaloom afraad ne chaaqo se hamla karkay qatal kar diya tha. qatal ke fori baad police ne daawa kiya tha ke kamlesh tiwari ke qatal ke taar 2015 mein is ke zareya paighambar islam Mohammad ﷺ ke khilaaf diye gaye qabil aiteraaz bayan se jarray hain. lekin kamlesh ki maa ne BJP leader par tiwari ke qatal ke ilzamaat aaed karte hue kayi inkishafaat kiye hain. –YTN STAFF