India

Kamal Hasan Ka Nathuram Godse Par Bayan, Hindustan Mein Ek Nai Behas Ka Aaghaz

By News Desk Roman Urdu

May 14, 2019

Hyderabad: Ab jabkay Hindustan  mein naye wazeer-e-azam ka faisla chand dinon mein hojaye ga lekin is ke bawajood intikhabi muhim aur siyasi rallies mein kayi ek  qaideen ki janib se mutanazia bayanaat ka silsila hunoz jari hai jis ki taaza tareen misaal filmoun ke maqbool tareen adakar aur Makkal Needhi Maiam ( MNM ) ke saddar Kamal Hasan ne mutanazia shakhsiyat Nathuram Godse ko azad Hindustan  ka pehla hindu dehshat gard qarar diya hai. Tamilnadu mein ek  intikhabi muhim ko khitaab karte hue kamaal Hasan ne kaha ke woh khud ko hindustani kehte hue fakhr mehsoos karte hain kyunkay Hindustan  masawaat ki sarzamen hai jis ki behtareen misaal mulk  ka tirangaa hai. jis mein mojood rang mukhtalif mazahab aur qomon ki numaindagi karte hain .

kamal Hasan ne apne khitaab mein yeh bhi kaha ke woh yeh baat is liye nahi keh rahay hain kyunkay yahan muslim abadi aksariyat mein hain lekin haqeeqat yahi hai ke azad Hindustan  ka pehla dehshatgard hindu tha aur yeh wohi hindu dehshat gard hai jisay aaj Nathuram godse ke naam se jana jata hai jis ne baba-e-qoum Mahatma Gandhi ka qatal kiya hai. Kamal Hasan ke is bayan ke baad Hindustan  mein ikhtilafat ka ek   elaab umand para hai kyunkay haliya dinon mein Hindustan  pehlay hi do nazariyat mein munqasim ho chuka hai, jis ki ahem wajah RSS aur BJP ke sath deegar zafrani jamaaton aur un ke nazriaat ke haami afraad ke liye Nathuram godse kisi hero se kam nahi jabkay yeh log baba-e-qoum Mahatma Gandhi ko mulk  ki taqseem aur taqseem ke waqt hazaron afraad ki mout ka zimma daar mantay hain .

Nathuram godse ne gandhi ka qatal kiya usay yeh tabqa durust faisla maanta hai jabkay 1948 se hi Hindustan  mein aksariyat is nazriye ke haami hain ke gandhi jee Adam tashadud ke haami they aur woh hindustani qoum ke liye baba-e-qoum ka darjah rakhtay they jin ka qatal yaqeenan Hindustan  ke liye ek  bohat bada saneha hai. kamal hasan ne jaisay hi Nathuram godse ko azad Hindustan  ka pehla hindu dehshat gard qarar diya to nathuram godse ke himayati afraad ki janib se un par tanqidon ke hamlay shuru ho chukay hain .

New Dehli mein BJP ke tarjuman Ashiwini kumar ne cheif Election Commissionaire ( CEC) ko ek   maktoob likhtay hue kamal Hasan ke zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi ke zimn mein sakht karwai karne ka mutalba kya. Ashiwini kumar ne mutalba kiya hai ke kamal Hasan par kam az kam paanch din ki pabandi Ayad karne ke alawa unke khilaaf  FIR darj karte hue muqadma bhi chalanay ka mutalba kiya aur unki party MNM par pabandi aed karne ka bhi mutalba kiya hai .

Kamaal Hasan par ek  aur shadeed tanqeed Tamilnadu ke wazeer KT Rajendar balaji ne ki jinhon ne intahi sakht alfaaz istemaal karte hue yahan tak keh diya ke kamaal Hasan ki zabaan kaat dainee chahiye. Rajendra balaji ne kaha ke kamaal Hasan ki janib se nathoram godse ko Hindustan  ki azaadi ke baad pehlay hindu dehshat gard honay ka bayan dainay par unki zabaan kaat dainee chahiye aur Election Commission ko chahiye ke woh unki siyasi jamaat par hamesha ke liye pabandi aed kar day .

Nathoram godse ki himayat mein shivsena ne bhi Kamal Hasan ko apni tanqeed ka nishana banaya hai. Shivsena tarjuman sanjay ravat ne apni jamaat ki numaindagi aur kamaal Hasan par tanqeed karte hue kaha ke yeh bollywood adakar ki ek  nakaam kahani hai. sanjay rawat ne kaha ke kamaal Hasan ek  behtareen adakar hain lekin Nathuram godse ke mutaliq unka bayan ek   nakaam kahani hai. unhon ne mazeed kaha ke hindu is baat ko bilkul bhi bardasht nahi karenge ke unke mazhab ko dehshat gardi se joda jaye kyunkay kamal Hasan aur vijay singh ke darmiyan koi farq nahi kyunkay yeh log ghair zurori bayanaat susti shohrat ke liye dete hain .

Babaye qoum Mahatma Gandhi ki mout ke sath Nathoram godse ka naam tareekh men hamesha liya jaye ga lekin haliya dinon mein aur khaas kar ke jab se BJP ne Iqtidaar sanbhala hai, Nathoram goood se ko ek  hero ke tor par paish karne mein koi kasar nahi choadi ja rahi hai halaank ek   dahe qabal tak bhi Nathuram godse ki hindustani tareekh mein shanakht sirf Gandhi ke qaatil ke tor par thi lekin haliya barson mein gandhi jee ki wafaat ke din jahan Hindustan  bhar mein unki Adam tashadud aur Hindustan  ki azaadi mein unki khidmaat ko yaad kiya jata hai to doosri janib Nathoram godse ko hero ke tor par paish kiya jaanay laga hai, jabkay rawan baras jab gandhi jee ki yom-e-wafaat ki taqarib manayi jarahi thi to doosri janib BJP aur RSS ke hamion ne Nathuram godse ki pooja karne ke alawa gandhi jee ke putlaay ko goli bhi maari thi .

Hindustani samaaj is waqt Gandhi aur godse ke darmiyan munqasim ho chuka hai jahan ek   janib ek  tabqa godse ko qaatil aur dehshat gard maanta hai to doosri janib BJP aur RSS usay Hindustan  ke liye masiihaa aur gandhi jee ko taqseem hind ka zimmedar qarar dete hain unki is ghalti par saza ka mustahiq maanta hai. nazriaat ka yeh ikhtilaaf anay walay zamane mein mazeed shiddat ikhtiyar kar sakta hai jis ke assaar aaj hi dikhayi day rahay hain . –            YTN STAFF