vegetables

Hyderabad

kaasht mein bhaari kami, tarkariyoun ki qeematon mein be-tahasha izafah

By News Desk Roman Urdu

November 28, 2020

Hyderabad:  Telangana bhar mein sabzion ki qeematoun mein taizi se izafah hua hai kyunkay pichle 5 mahino mein sabzion ki kaasht mein zabardast kami waqay hui hai.

sabzion ki kharidari kam aamdani walay afraad ke liye bojh ban gayi hai jinki zindagi pehlay hi covid wabai amraaz ki zad mein aa chuki hai.

Sabzion ki faslein ziyada tar pahadi ilaqon mein kaasht ki jati hain jinki mehdood aab paashi ki sahuliyaat hain. pichle saal sabzion ki kaasht 132610 acre mein ki gayi thi lekin is saal araazi ka acre Raqba bohat kam hokar 61153 acre reh gaya hai. iske alawa bohat se kisanoun ne sabzion ke bajaye dhaan ki kaasht ka intikhab kiya. Sabzion ki kaasht ke tehat raqbay mein kami ka barah e raast asar unki qeematon par pada hai.

Dar-ul-hukoomat ke aas paas sabzion ki kaasht kam hai, hyderabad ke aas paas ke azlaa mein Rangareddy, vikarabad, sangareddy, siddipet, Nalgonda, bhongir aur suryapet azlaa mein sabzion ki kaasht bohat kam hogayi hai.

Pichle saal ke raqbay ke 50% se bhi kam mein sabzion ki fasloun ki kaasht ki ja rahi hai.

Mazeed ye ke riyasat mein is monsoon mein barish ki wajah se pani ki zameeni satah mein zabardast izafah hua hai. Is se pehlay har gaon ke kashtkaar kam az kam chand acre per sabziyoun jaisay tamatar, baigan, kakdi aur hari mirch kaasht karte thay lekin unhon ne ab waafar wasail ki wajah se sabzion se dhaan ki kaasht ki taraf tawajah markooz karli hai. sabz mirchain 100 rupay fee kilo farokht ki jati hain jabkay baigan aur tamatar 60 taa 80 rupay fi kilograme par dastyab hain, jo pichle saal ki qeemat mein is se teen guna ziyada hain. taham, un faslun se kisanon ko behtar aamdani ho rahi hai jo thodi bohat kaasht karte hain. Kisanon ka daawa hai ke unhon ne tamatar par 2 rupay fi klov sarmaya bhi nahi lagaya hai lekin woh pichle 5 mah se 40 rupay fi kilograme par frokht kar rahay hain.