India

Justice Gogoi adalat se rukhsat

By News Desk Roman Urdu

November 15, 2019

New Delhi: Babri Masjid araazi tanaza may faisla sunanay walay Supreme Court ke Chief Justice Ranjan Gogoi kaam par apne aakhri din aaj adalat ke kamray may sirf 5 minute rahay aur fehrist mai shaamil sabhi maamloun par ek sath Notice jari karne ke baad unhoun ne shukriya kaha aur rukhsat hogaye.

purani rivayet ke tehat Justice Gogoi ke sath aaj ki bench may mulk ke aglay Chief Justice SA Bobde bhi shaamil they. 2 jajon ke samnay aaj sirf 10 muqadmay zair fehrist they. Justice Gogoi ne aakhri baar bench ki qayadat karte huve kaha ke aaj koi Mentioning nahi hogi. unhoun ne sabhi 10 muqadmoun ke liye ek sath notice jari kiye aur shukriya adakarte  huve nashist se uth kar chalay gaye.

isse pehlay Supreme Court Bar assoiation ke saddar Rakesh khanna ne unka shukriya ada kiya aur mustaqbil ke liye naik tamanna ka izhaar kiya aur kaha ke unhoun ne hamesha idaray aur barke liye kaam kiya hai. Justice Gogoi ne bhi unka shukriya ada kiya.

Justice Gogoi 17 November ku mulazmat se subukdosh ho rahay hain, kyunkay haftay aur itwaar ko adalat ki chhutti hoti hai is liye unka adalat may aaj hi aakhri din raha. doosri janib Justice Bobde 18 November ko mulk ke 47 wen Chief Justice ka halaf lenge. ­YTN STAFF