Hyderabad: Ameerpet taa Hitec city metro rail khidmaat ki takmeel ke baad ab Hyderabad Metro Rail Ltd ne apni tamam tar tavajja jubilee bus stand se mahatma gandhi bus stand ke rastay par metro rail khidmaat ke aaghaz par markooz kar li hai aur umeed ki jarahi hai ke rawan baras mahe September mein mazkoorah rastay par Metro Rail khidmaat ka aaghaz ho jaye ga .
Jubilee bus stand se mahatma gandhi bus stand tak ka faasla 10 kilo meter hai aur is rastay par dono stations ke darmiyan 8 mazeed stations qaim kiye jayenge. jubilee bus stand se jab rail rawana hogi to iske baad pehla stand parade ground hoga, yahan se Metro Rail Secunderabad, Gandhi hospital,Musheerabad , RTC cross road, Chikkadpally, Naryanguda aur Sultan bazaar ke baad apni aakhri manzil Mahatma Gandhi stand par poanch jayegi. is rastay par pal ke tamirati kaam mukammal ho chuke hain aur ab Metro Rail hukkaam ki tamam tar tavajja stations ko awaami khidmaat ke liye tayyar karne par markooz ho chuki hai .
Is zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue Metro Rail ke hukkaam ne kaha hai ke Jubilee bus stand se Mahatma Gandhi bus stand ke rastay par Metro Rail ki khidmaat ko mahe September tak aaghaz karne par tavajja markooz kar di gayi hai kyunkay is ke foran baad Mahatma Gandhi bus stand se fallaknuma ke rastay par metro rail khidmaat ka bhi aaghaz kiya jana hai. puranay shehar ke is 5.5 kilometer ke rastay par bhi metro rail khidmaat ka aaghaz kiya jana hai. Ameerpet se Hitec city ke rastay par Metro rail ke aaghaz ke baad Hyderabad mein Metro Rail ka jaal 56 kilometers par muheet ho chuka hai aur is tarha yeh hindustan mein Dehli metro ke baad metro ki doosri sab se badi khidmaat hain. Metro Rail se rozana 2. 2 laakh musafireen safar kar rahay hain jabkay ek andazay ke mutabiq Ameerpet se Hitec city ke rastay par safar karne walay musafireen ki tadaad rozana 40 hazaar record ki ja rahi hai .
Ameerpet se Hitec city ke baad jubilee bus stand se mahatma gandhi bus stand ke rastay par Metro Rail musafireen ki ek badi tadaad ke safar karne ki umeed ki ja rahi hai kyunkay is rastay par jo ilaqay mojood hain woh traffic ke liye masroof tareen maqamat mein shaamil hain. hukkaam ne jo tafseelaat faraham ki hain jis ke tehat mahatma gandhi bus stand taa fallak numa ke rastay par Metro Rail ke aaghaz ke liye khangi jayidadon ke husool ka kaam taqreeban mukammal hochuka hai aur anqareeb is rastay par metro rail ki tamirati kamon ka aaghaz ho jaye ga .-YTN STAFF