India

Jignesh Mewani aur Hardik patel chalayein ge, Kanhiya Kumar ke liye tashhiri muhim

By News Desk Roman Urdu

March 27, 2019

Patna : Gujrat ke Dalit leader Jignesh Mewani ne chaharshambe ko kaha ke woh aur Hardik patel, JNU ke sabiq Taliba union ke leader kanhiya kumar ke liye tashhiri muhim chalayein ge. jo Bihar mein Begusarai  se lok sabha intikhabat lad rahay hain .Jignesh ne kaha ke Begusarai  mein BJP ke Umeedwar Giri Raaj Singh, Kanhaiya kumar se muqaabla nahi kar payenge .

Wazeh rahay ke Communist party of India CPI  ne kanhiya kumar ko Begusarai  se maidan mein utaara hai. unn ka muqaabla BJP ke Griraj Singh aur Rashtriyah Janta dal ke Tanveer hussain se hai. 32 sala kanhiya kumar ko feb 2016 may girftar kiya gaya tha aur JNU camps mein mulk ke khilaaf naaray laganay se na roknay par unpar desh drohi ka ilzaam lagaya gaya tha .