Riyadh: Saudi Arab ke sahili shehar Jeddah mein Shah Abdalaziz bain ul aqwami Airport ko koi siwa 2 mah ke baad dobarah androon mulk parwaazoun ke liye khol diya gaya hai. Saudi Press Agency ki Website par shaya ki gayi tasaveer ke mutabiq Airport ka amlah coronavirus se bachao ke liye general Civil Aviation Authority ki waza kardah peshgi hifazati tadabeer par dosray idaroun ke sath taawun se amal daraamad kar raha hai.
Un hifazati tadabeer ke tehat Airport par anay walay musafiroun aur zaireen ka thermal Camers se muaina kiya ja raha hai. Seedihoun, Intezaar gaahoun aur barqi raastoun ko masfa karne ke liye jadeed Technology ko barowyekar laya ja raha hai. Airport par anay walay musafiroun aur zaireen ko ye talqeen ki jarahi hai ke wo wahan qiyam ke douran mein samaji faasla barqarar rakhen.
Shah Abdalaziz bain ul aqwami Airport ke terminal 1 se itwaar ko 40 parwazoun ki aamad waraft huvi hai. Un mein 16 parwazein Saudi Airlines ki theen, 12 flyadeal Airlines aur 12 parwazein Flyadeal ki theen. Ye tamam parwazein dar-ul-hukoomat Riyadh, Dammam, aur Jazan ko rawana huvi theen ya un ki wahan se aamad huvi thi.
Saudi Arab ke mehakma shehri huwa baazi ne guzashta haftay 31 May se androon mulk parwaazoun ki bahaali ka elaan kiya tha aur kaha tha ke fi al-waqt Saudi fazai companian hi androon mulk mukhtalif shehroun ke darmain parwazein chalayeingi. Wazeh rahay ke Saudi Arab ne 20 March ko Coronavirus ki rokk thaam ke liye iqdamaat ke tehat androon mulk tamam parwazein moattal kardi theen aur ab unhein 2 mah ke baad bahaal kiya gaya hai. –YTN STAFF