Jeddah: Jeddah ke new King Abdul Aziz International Airport mein duniya ke sab se baday Aquarium ka iftitah kardiya gaya. Is mein 2 hazaar se ziyada nadir machhliyan mojood hain. Aquarium se Jeddah ke naye Airport ke husn mein izafah hogaya hai. Tafseelaat ke mutabiq mehakma shehri hawabazi ke tarjuman Ibrahim Al-Rusa ne kaha ke ye duniya ka sab se bada Aquariums 14 meter ouncha hai. Is ka qatar 10 meter hai. Is mein 10 Lakh letter pani ki gunjaish hai. Ye meethay aur namkeen pani ka murakkab hai. Is ka darjah hararat 26 hai.
Mehakma shehri hawabazi ke tarjuman ne mazeed kaha ke Aquarium mein anwaa-o-aqsam ki machhliyan hain. Un mein se baaz nadir qisam ki hain. Un ki tadaad 2 hazaar se ziyada hai. Un ki khoraak ka khud kaar nizaam hai. Inhen taaza samandari khoraak faraham ki jati hai. Yaad rahay ke Jeddah ka naya king Abdul Aziz International Airport mashriq wasti ke baday Airports mein se ek hai. Is ka majmoi raqba 8 Lakh 10 hazaar murabba meters hai. Pehla marhala mukammal honay par is se salana 30 million afraad safar kar saktay hain.
Jeddah ke naye Airport ka design Saudi Arab ke geographical mahol aur Jeddah ke tareekhi mahol se liya gaya hai. Airport complex ke androoni aur atraaf ke ilaqay ko sabza-o-zaar se sajaya gaya hai. Airport ke andar 18 hazaar murabba meter par ek park bhi hai. Is ke darmain se khud Car Train guzarti hai. Aquariums transport center ke west mein waqay hai. –YTN STAFF